صد شکر میرے مولا
Ye Husaini Qabile
Show
صد شکر میرے مولا
صد شکر میرے مولا
زہرا کے آنسوؤں سے تخلیق جو ہوا تھا
کالے لباس والا یہ ماتمی قبیلہ
ماتم ہمارا مسلک مجلس ہمارا مذہب
ہر ماتمی کے سینے پر یہ جو نشان ہے
یہ حسینی قبیلے کی پہچان ہے
۱
اس کی تہذیب میں ہے بسی کربلا
اور اس کی گواہی میں دیکھو ذرا
سب کے گھر پہ علم دیکھو عباس کا
بچے بچے کے لب پر یہی ہے صدا
۲
اپنے بچوں کو تعلیم دے ہم صدا
مجلسِ شاہِ دیں ہے تیرا مدرسہ
ماں کی آغوش میں تو نے نوحے سنے
انہیں نوحوں سے دنیا کو بتلائے گا
۳
آنکھ میں آنسوؤں کا سمندر لیے
صرف ماتم کرے ہاتھ جب بھی اٹھے
یہ نشانی ہے شہ کے عزادار کی
کالے کپڑے بدن پر گواہی بنے
۴
جب کہیں بھی نظر آئے مشک و علم
دیکھ کر یہ علم آنکھ ہو جائے نم
یہ نشانی وفا اور وفادار کی
اس علم کی ہی نسبت سے کہتے ہیں ہم
۵
آٹھویں کو جو پرچم سجاتے ہیں ہم
اور بچوں کو سقہ بناتے ہیں ہم
فاقہ کرتے ہیں ہم روزِ عاشور کو
پیاسا رہ کر جہاں کو بتاتے ہیں ہم
۶
تم نے سوچا نہیں اہلِ دنیا ذرا
جا بجا ان سبیلوں کا مطلب ہے کیا
اپنے نام و نسب خود بتاتی ہے یہ
اور تم کو بتاتے ہیں اہلِ عزا
۷
شاہ راہوں پہ ہے جو جلوسِ عزا
کربلا کے شہیدوں کا ہے معجزہ
اپنے خوں میں نہائے ہیں سب ماتمی
خون بہہ کر بدن سے یہ کہنے لگا
۸
ہے ہمارے لبوں پر جو نامِ علی
یہ وظیفہ بھی ہے اور عقیدہ یہی
ہم محبانِ حیدر ہیں بس اس لئے
جنگ نسلِ یزیدی سے ہے آج بھی
۹
اس قبیلے کے پیر و جواں طفل بھی
اپنے مولا کے لشکر کے ہیں عسکری
سر کٹانے کو تیار ہیں ہر گھڑی
دیکھ کر اس شجاعت کو بولے علی
۱۰
اس قبیلے کی ماؤں کو میرا سلام
اور سلام ان قبیلے کی بہنوں کے نام
بھائیوں اور بیٹوں کا غم بھول کر
کرتی رہتی ہے ذکرِ شہِ تشنہ کام
۱۱
دیتا رہتا ہے فرحان پیغامِ غم
حق بتاتا ہے جو اس کو میرا قلم
گھر میں شادی ہو مظہر تو مجلس بھی ہو
فرق ہے یہ ہمارا خدا کی قسم
Ye Husaini Qabile
Sad shukr mere Maula
Zehra ke aansuoṅ se takhliq jo hua tha
Kaale libaas waala ye maatami qabila
Maatam hamaara maslak majlis hamaara mazhab
Har maatami ke sine par ye jo nishaan hai
Ye Husaini qabile ki pehchaan hai
1
Is ki tehzib meiṅ hai basi Karbala
Aur is ki gawaahi meiṅ dekho zara
Sab ke ghar pe alam dekho Abbas ka
Bachche bachche ke lab par yehi hai sada
2
Apne bachchoṅ ko taalim de hum sada
Majlis-e-Shaah-e-diṅ hai tera madrasa
Maaṅ ki aaghosh meiṅ tu ne nauhe sune
Inhi nauhoṅ se dunya ko batlaayega
3
Aankh meiṅ aansuoṅ ka ye saawan liye
Sirf maatam kare haath jab bhi uthe
Ye nishaani hai Sheh ke azaadaar ki
Kaale kapre badan par gawaahi bane
4
Jab kahiṅ bhi nazar aaye mashk o alam
Dekh kar ye alam aankh ho jaaye nam
Ye nishaani wafa aur wafaadaar ki
Is alam ki hi nisbat se kehte haiṅ hum
5
Aathviṅ ko jo parcham sajaate haiṅ hum
Aur bachchoṅ ko saqqa banaate haiṅ hum
Faaqa karte haiṅ hum roz-e-Aashur ko
Pyaasa reh kar jahaaṅ ko bataate haiṅ hum
6
Tum ne socha nahiṅ ahl-e-dunya zara
Jaa baja in sabiloṅ ka matlab hai kya
Apna naam o nasab khud bataati hai ye
Aur tum ko bataate haiṅ ahl-e-aza
7
Shaah raahoṅ pe hai jo julus-e-aza
Karbala ke shahidoṅ ka hai maujiza
Apne khuṅ meiṅ nahaaye haiṅ sab maatami
Khun beh kar badan pe ye kehne laga
8
Hai hamaare laboṅ par jo naam-e-Ali
Ye wazifa bhi hai aur aqida yehi
Hum muhibbaan-e-Haidar haiṅ bas is liye
Jang nasl-e-Yazidi se hai aaj bhi
9
Is qabile ke pir o jawaaṅ tifl bhi
Apne Maula ke lashkar ke haiṅ askari
Sar kataane ko tayyaar haiṅ har ghari
Dekh kar is shujaat ko bole Ali
10
Is qabile ki maaoṅ ko mera salaam
Aur salaam is qabile ki behnoṅ ke naam
Bhaaiyoṅ aur betoṅ ka gham bhul kar
Karti rehti hai zikr-e-Sheh-e-tishna kaam
11
Deta rehta hai Farhan paighaam-e-gham
Haq bataata hai jo us ko mera qalam
Ghar meiṅ shaadi ho Mazhar to majlis bhi ho
Faqr hai ye hamaara Khuda ki qasam