Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

یہ چاند تارے یہ پھول کلیاں

Ye Chaand Taare

Add to set
Show

یہ چاند تارے یہ پھول کلیاں

یہ چاند تارے یہ پھول کلیاں حسین کا غم منا رہے ہیں جہاں میں سارے حسین والے حسین کا غم منا رہے ہیں
۱ خلیل کعبہ کہاں ہو آؤ خلیل کربوبلا کو دیکھو حسین جلتی ہوئی زمیں پر پسر کی میت اٹھا رہے ہیں
۲ حسین کے یہ جگر کی طاقت ہے جس سے ایوب کو بھی حیرت گلے پہ خنجر رواں ہے لیکن حسین کلمہ سنا رہے ہیں
۳ کہیں پہ اکبر سا گلبدن ہے کہیں پہ قاسم گل حسن ہے جگر کے ٹکڑوں سے شاہ والا زمین مقتل سجا رہے ہیں
۴ نہ جانے زینب نے کیسے دیکھا عجیب منظر وہ کربلا کا حسین گر گر کے اٹھ رہے ہیں تڑپ کے اکبر بلا رہے ہیں
۵ چراغ خیمہ بجھا کے سرور بنا گئے ہیں ایک ایسا لشکر انہی چراغوں کی روشنی سے چراغ سب جگمگا رہے ہیں
۶ یہ اڑتے بادل یہ بہتے دریا سنو ذرا کیا بتا رہے ہیں جہاں خدا ہے وہاں حسینی حسین کا غم منا رہے ہیں
۷ پدر کے سینے پہ سونے والی سموں سے رہوار کے ہے لپٹی سکینہ شاید سمجھ گئی ہے کہ بابا مرنے کو جا رہے ہیں
۸ جہاں جہاں بھی حسینیت ہے ریحان و سرور یہ بات سچ ہے حسین والے علم اٹھا کر حسین کا غم منا رہے ہیں

Ye Chaand Taare

Ye chaand taare ye phul kaliyaaṅ Husain ka gham mana rahe haiṅ Jahaaṅ meiṅ saare Husain waale Husain ka gham mana rahe haiṅ
1 Khalil-e-Kaaba kahaaṅ ho aao Khalil-e-Karbobala ko dekho Husain jalti hui zamiṅ se Pisar ki mayyat utha rahe haiṅ
2 Husain ke ye jigar ki taaqat Hai jis se Ayyub ko bhi hairat Gale pe khanjar rawaaṅ hai lekin Husain kalma suna rahe haiṅ
3 Kahiṅ pe Akbar sa gulbadan hai Kahiṅ pe Qaasim gul-e-Hasan hai Jigar ke tukroṅ se Shah-e-waala Zamin-e-maqtal saja rahe haiṅ
4 Na jaane Zainab ne kaise dekha Ajib manzar wo Karbala ka Husain gir gir ke uth rahe haiṅ Tarap ke Akbar bula rahe haiṅ
5 Charaagh-e-khaima bujha ke Sarwar Bana gaye haiṅ ek aisa lashkar Inhiṅ charaaghoṅ ki roshni se Charaagh sab jagmaga rahe haiṅ
6 Ye urte baadal ye behte darya Suno zara kya bata rahe haiṅ Jahaaṅ Khuda hai wahaaṅ Husaini Husain ka gham mana rahe haiṅ
7 Padar ke sine pe sone waali Sumoṅ se rahwaar ke hai lipti Sakina shaayad samajh gayi hai Ke Baba marne ko ja rahe haiṅ
8 Jahaaṅ jahaaṅ bhi Husainiyat hai Rehaan o Sarwar ye baat sach hai Husain waale alam utha kar Husain ka gham mana rahe haiṅ