صدیوں کے ہر اک ظلم کو کیسے لکھوں
Ye Baat Arize Mein
Show
صدیوں کے ہر اک ظلم کو کیسے لکھوں
صدیوں کے ہر اک ظلم کو کیسے لکھوں
جو ہے درد سینے میں نہیں لکھ سکتا
آپ آئیں تو قدموں میں گروں عرض کروں
ہر بات عریضے میں نہیں لکھ سکتا
یا امام یا امام یا امام یا امام
یہ بات عریضے میں نہیں لکھ سکتا
۱
دکھ یہ ہے کہ غیروں کے علاوہ ہم نے
اپنوں سے بھی ہم سایہ میں پایا ہم نے
یہ منبر و محراب کے سوداگر لوگ
جن کے لئے خود کو بھی مٹایا ہم نے
۲
اس طرح اس دین کی خدمت کی ہے
مجلس میں دل و جان سے خطابت کی ہے
اور بیٹھ کے منبر پہ بڑے فخر کے ساتھ
اس ذکر کی لاکھوں میں تجارت کی ہے
۳
فنکار بھی شاعر بھی صدا گر بھی ہم
احساس نہیں ہے کہ اداکار بھی ہم
نغموں کو بھی نوحوں میں بدلتے ہیں ہم ہی
کہنے کو شاہ دیں کے عزادار بھی ہم
۴
اور دوسری جانب یہ رویہ برتا
ماتم کی تقاوت کو بھی تبدیل کیا
اور مانگ کے اسناد کسا اپنوں سے
خود آیہ تطہیر کو مشکوک کیا
۵
لیکن یہ حقیقت ہے کہ یہ امر خدا
کام وہ ہے جنہیں دولت و شہرت نے ڈسا
اے اکثریت قوم کی مخلص کے
مقصد ہے ہٹا ہی نہیں سکتے واللہ
۶
ہم لوگ نمازی بھی ہیں عزادار بھی ہیں
اور اپنی شہادت کے طلب گار بھی ہیں
یہ دشمن حیدر سے بھی کہہ دے کوئی
ہر طرح سے جان دینے پر تیار بھی ہیں
۷
نظروں میں ہے وہ کرب و بلا کا منظر
برچھی میں تھا جس دم علی اکبر کا جگر
مقتل کی زمین سرخ ہوئی جاتی تھی
دم توڑتا تھا باپ کے ہاتھوں میں پسر
۸
چلتا ہے وہ اک تیر جو سہ شوبہ ہے
اس ظلم پہ تاریخ بھی شرمندہ ہے
وہ تیر جو اصغر کے گلے پر ہے لگا
وہ تیر ہر اک قلب میں پیوستہ ہے
۹
بے دستی کے آنکھوں میں جو یہ آنسو ہیں
جذبات علمدار کے بے قابو ہیں
شبیر اٹھاتے ہیں جنہیں رو رو کر
سقائے سکینہ کے کٹے بازو ہیں
۱۰
پھر وقت نے شاہد نہ یہ منظر دیکھا
کٹتا ہوا سجدے میں کوئی سر دیکھا
بیمار نے خیمے کا ہٹا کر پردہ
شبیر کا سر نوک سناں پر دیکھا
Ye Baat Arize Mein
Sadiyoṅ ke har ek zulm ko kaise likhuṅ
Jo dard hai sine meiṅ nahiṅ likh sakta
Aap aaeṅ to qadmoṅ pa giruṅ arz karuṅ
Har baat arize meiṅ nahiṅ likh sakta
Ya Imam ya Imam ya Imam ya Imam
Ye baat arize meiṅ nahiṅ likh sakta
1
Dukh ye hai ke ghairoṅ ke ilaawa hum ne
Apnoṅ se bhi hum saaye meiṅ paaya hum ne
Ye minbar o mihraab ke saudaagar log
Jin ke liye khud ko bhi mitaaya hum ne
2
Is tarah se is din ki khidmat ki hai
Majlis meiṅ dil o jaan se khitaabat ki hai
Aur baith ke minbar pe bare fakhr ke saath
Is zikr ki laakhoṅ meiṅ tijaarat ki hai
3
Fankaar bhi shaayar bhi sadaakaar bhi hum
Ehsaas nahiṅ hai ke adaakaar bhi hum
Naghmoṅ ko bhi nauhoṅ meiṅ badalte haiṅ hum hi
Kehne ko Shaah-e-diṅ ke azaadaar bhi hum
4
Aur dusri jaanib ye rawayya barta
Maatam ki sakhaawat ko bhi tabdil kiya
Aur maaṅg ke asnaad-e-kisa apnoṅ se
Khud aaya-e-tathir ko mashkuk kiya
5
Lekin ye haqiqat hai ke ae amr-e-Khuda
Kam wo haiṅ jinheṅ daulat o shohrat ne dasa
Ae aksariyat qaum ki mukhlis ke jise
Maqsad hai hata hi nahiṅ sakte wallaah
6
Hum log namaazi bhi haiṅ azaadaar bhi haiṅ
Aur apni shahaadat ke talabgaar bhi haiṅ
Ye dushman-e-Haidar se bhi keh de koi
Har tarah se jaan dene par tayyaar bhi haiṅ
7
Nazroṅ meiṅ hai wo Karb o Bala ka manzar
Barchhi meiṅ tha jis dam Ali Akbar ka jigar
Maqtal ki zamin surkh hui jaati thi
Dam torta tha baap ke haathoṅ pa pisar
8
Chalta hai wo ek tir jo seh-shoba hai
Is zulm pe taarikh bhi sharminda hai
Wo tir jo Asghar ke gale par hai laga
Wo tir har ek qalb meiṅ paiwasta hai
9
Bedasti ke aankhoṅ meiṅ jo ye aansu haiṅ
Jazbaat Alamdar ke beqaabu haiṅ
Shabbir uthaate haiṅ jinheṅ ro ro kar
Saqqa-e-Sakina ke kate baazu haiṅ
10
Phir waqt ne Shahid na ye manzar dekha
Katta hua sajde meiṅ koi sar dekha
Bimaar ne khaime ka hata kar parda
Shabbir ka sar nok-e-sinaaṅ par dekha