وہ ماتمی ہے
Woh Maatami Hai
Show
وہ ماتمی ہے
۱
سکونِ قلبِ رسول کا جو سکون بنا ہے وہ ماتمی ہے
قسم ہے دل کی وہ جس کی دھڑکن میں کربلا ہے وہ ماتمی ہے
۲
نمازی سارے قطار میں ہیں ابھی ہے جاری حساب ان کا
بنا حساب و کتاب جنت میں جو گیا ہے وہ ماتمی ہے
۳
خدا ہے بانی تو نوحہ خواں نوح اور داؤد سوز خواں ہے
تو میرا دل یہ پکارا یعقوب اور کیا ہے وہ ماتمی ہے
۴
ردائے بنتِ نبی کے سائے میں جو پلا ہے، تو وہ ہے عباس
دعائے بنتِ نبی کے سائے میں جو پلا ہے وہ ماتمی ہے
۵
تقابل اس کا نہیں کرو تم جہاں کے مشہور متقی سے
قسم عبادت کی جو عبادت میں بے ریا ہے وہ ماتمی ہے
۶
وہ غیب والا بھی پرسہ دارِ ردائے زینب ہے تو یہ کہہ دوں؟
کوئی تو ہے جو نظامِ ہستی چلا رہا ہے وہ ماتمی ہے
۷
اسے نہ جنت کی کچھ طلب ہے نہ ڈر ہے دوزخ کا اس کے دل میں
حسین کو وہ بغیر لالچ کے چاہتا ہے وہ ماتمی ہے
۸
یہ روزِ محشر کا ایک منظر ہے دل کی آنکھوں سے میں نے دیکھا
جو سب سے پہلے جنابِ حر کے گلے لگا ہے وہ ماتمی ہے
۹
قسم خدا کی عزا حسین ابنِ فاطمہ کی ہے کام رب کا
زمین پر جو خدا کا یہ کام کر رہا ہے وہ ماتمی ہے
Woh Maatami Hai
1
Sukun-e-qalb-e-Rasul ka jo sukun bana hai woh maatami hai
Qasam hai dil ki woh jis ki dharkan meiṅ Karbala hai woh maatami hai
2
Namaazi saare qataar meiṅ haiṅ abhi hai jaari hisaab un ka
Bina hisaab o kitaab Jannat meiṅ jo gaya hai woh maatami hai
3
Khuda hai baani to nauha khwaaṅ Nuh aur Daawud soz khwaaṅ hai
To mera dil yeh pukaara Yaaqub aur kya hai woh maatami hai
4
Rida-e-Bint-e-Nabi ke saaye meiṅ jo pala hai, to woh hai Abbas
Dua-e-Bint-e-Nabi ke saaye meiṅ jo pala hai woh maatami hai
5
Taqaabul is ka nahiṅ karo tum jahaaṅ ke mashhur muttaqi se
Qasam ibaadat ki jo ibaadat meiṅ beriya hai woh maatami hai
6
Woh ghaib waala bhi pursa daar-e-rida-e-Zainab hai to yeh keh duṅ?
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai woh maatami hai
7
Ise na Jannat ki kuchh talab hai na dar hai dozakh ka is ke dil meiṅ
Husain ko woh baghair laalach ke chaahta hai woh maatami hai
8
Yeh roz-e-mehshar ka ek manzar hai dil ki aaṅkhoṅ se maiṅ ne dekha
Jo sab se pehle Janaab-e-Hur ke gale laga hai woh maatami hai
9
Qasam Khuda ki aza Husain Ibn-e-Faatima ki hai kaam Rab ka
Zamin par jo Khuda ka yeh kaam kar raha hai woh maatami hai