وہ تین دن کی پیاس وہ تشنہ لبوں کی شام
Wo Tin Din Ki Pyaas
Show
وہ تین دن کی پیاس وہ تشنہ لبوں کی شام
وہ تین دن کی پیاس وہ تشنہ لبوں کی شام
اپنے گھروں سے دور وہ ان بے گھروں کی شام
۱
بیواؤں کی یتیموں کی اور قیدیوں کی شام
دُرّوں کی تازیانوں کی اور خنجروں کی شام
۲
بے سایہ آسمان وہ مقتل گرم ریت
صحرائے بے اماں میں وہ خستہ تنوں کی شام
۳
خیموں کے ارد گرد وہ لاشے عزیزوں کے
اور دشت کربلا میں وہ ان بے سروں کی شام
۴
لے جائے کون ان کا لہو بستیوں کی سمت
پھیلی یہ سارے شہر میں اب دشمنوں کی شام
۵
اصغر تمہاری یاد میں ہم سب ہیں اشک بار
بیبی سکینہ دیکھئے یہ آنسوؤں کی شام
۶
وہ گیارہویں کے چاند کی افسردہ روشنی
بالوں سے منہ چھپائے وہ شہزادیوں کی شام
Wo Tin Din Ki Pyaas
Wo tin din ki pyaas wo tishna laboṅ ki shaam
Apne gharoṅ se dur wo un begharoṅ ki shaam
1
Bewaaoṅ ki yatimoṅ ki aur qaidiyoṅ ki shaam
Durroṅ ki taaziyaanoṅ ki aur khanjaroṅ ki shaam
2
Besaaya aasmaan wo maqtal garm ret
Sehraa-e-beamaaṅ meiṅ wo khasta tanoṅ ki shaam
3
Khaimoṅ ke ird gird wo laashe azizoṅ ke
Aur dasht-e-Karbala meiṅ wo un besaroṅ ki shaam
4
Le jaaye kaun in ka lahu bastiyoṅ ki samt
Phaili ye saare shehr meiṅ ab dushmanoṅ ki shaam
5
Asghar tumhaari yaad meiṅ hum sab haiṅ ashk baar
Bibi Sakina dekhiye ye aansuoṅ ki shaam
6
Wo gyaarahviṅ ke chaand ki afsurda roshni
Baaloṅ se muṅh chhupaaye wo shehzaadiyoṅ ki shaam