وحیِ خدا کی پشت پناہی کی عید ہے
Wahi-e-Khuda Ki Pusht Panaahi Ki Eid Hai
Show
وحیِ خدا کی پشت پناہی کی عید ہے
وحیِ خدا کی پشت پناہی کی عید ہے
یہ بابِ شہر علم کے راہی کی عید ہے
۱
ہے ذٰلک الکتاب کے حرفوں کا روزِ جشن
العصر والقلم کی سیاہی کی عید ہے
۲
حرفِ مقطعات پہ ہے جس کا انحصار
اس لشکرِ سخن کے سپاہی کی عید ہے
۳
جتنے صحیفے بھیجے گئے ہیں زمین پر
منبر سے ان کی سچی گواہی کی عید ہے
۴
اَن تفقدونی پھر سے سلونی تک آئے گی
اے تخت و تاج تیری تباہی کی عید ہے
۵
کھلنے کو مدرسہ ہے نبی کے کلام کا
آلِ نبی کی دور نگاہی کی عید ہے
۶
آمد جنابِ حضرتِ باقر کی ہے دلیل
پہلی رجب علومِ الٰہی کی عید ہے
Wahi-e-Khuda Ki Pusht Panaahi Ki Eid Hai
Wahi-e-Khuda ki pusht panaahi ki eid hai
Yeh baab-e-shehar ilm ke raahi ki eid hai
1
Hai zaalikal kitaab ke harfoṅ ka roz-e-jashn
Al-asr wal-qalam ki siyaahi ki eid hai
2
Harf-e-muqattaaat pe hai jis ka inhisaar
Us lashkar-e-sukhan ke sipaahi ki eid hai
3
Jitne sahife bheje gaye haiṅ zamin par
Mimbar se un ki sachchi gawaahi ki eid hai
4
An tafqiduni phir se saluni tak aaye gi
Ae takht o taaj teri tabaahi ki eid hai
5
Khulne ko madrasa hai Nabi ke kalaam ka
Aal-e-Nabi ki dur nigaahi ki eid hai
6
Aamad janaab-e-Hazrat-e-Baaqir ki hai dalil
Pehli Rajab ulum-e-ilaahi ki eid hai