اٹھو حسین تم سے بہن ملنے آئی ہے
Utho Husain Tum Se
Show
اٹھو حسین تم سے بہن ملنے آئی ہے
اٹھو حسین تم سے بہن ملنے آئی ہے
میت نہیں تو قبر گلے سے لگائی ہے
اک بیکسی فضائے حقیقت میں چھائی ہے
جنگل پسند آ گیا بستی بسائی ہے
خوشبو لہو کی خاک کے ذروں میں پائی ہے
پھر کربلا سے قید میں تقدیر لائی ہے
میت نہیں تو قبر گلے سے لگائی ہے
۱
ڈوبا ہوا لہو میں ہے مغرب کا آفتاب
ہر ذرہ کربلا کا ہے دنیائے انقلاب
لیلیٰ کا چاند اور وہ زلفوں میں پیچ و تاب
سینے میں زخم لے گیا اجڑا ہوا شباب
قاتل نے دل کو دیکھ کے برچھی لگائی ہے
۲
اجڑی ہوئی زمیں ہے تو بے نور آسماں
کب ختم دیکھو ہوتا ہے زینب کا امتحاں
سنتے ہیں کھل گئی تھی مقدر سے ریسماں
بازو میں اور گلے میں ہیں ابھرے ہوئے نشاں
کیا جانے کتنی قید میں تکلیف اٹھائی ہے
۳
جو دل کو تازہ کرتا ہے بن بھی نہیں ملا
سوکھے ہوئے گلوں کو چمن بھی نہیں ملا
شکوہ نہیں کوئی جو وطن بھی نہیں ملا
چادر نہیں ملی تو کفن بھی نہیں ملا
بیٹے نے آ کے قید سے تربت بنائی ہے
۴
مشکل بہت تھی راہ مگر کام کر گئے
ماں دیکھتی تھی گود کے پالے کدھر گئے
اک داغ دل میں چھوڑ دیا اور گزر گئے
جھولا بھی ختم ہو گیا اصغر بھی مر گئے
بچے کی قبر ماں نے گلے سے لگائی ہے
۵
جو لب پہ آہ تھی وہ دلِ زار تک گئی
غم کی امنگ آنسوؤں کے دھار تک گئی
بالوں سے منہ کو ڈھانپ کے بازار تک گئی
کیا کر کہوں یزید کے دربار تک گئی
گردش نہ جانے کیسے مقدر نے کھائی ہے
۶
اجڑے ہوئے قیام کا باقی نہیں نشاں
حدِ تصورات سے بھی کھو گئے مکاں
اصغر ہے اب نہ پیاس سے سوکھی ہوئی زباں
ننھی لحد کو ڈھونڈتی پھرتی ہے رن میں ماں
جو بچ گئے ہیں اشک وہ تربت پہ لائی ہے
۷
مشکیزہ اپنے ساتھ فدائی لیے ہوئے
دل میں بہن کی یاد کو بھائی لیے ہوئے
قبضے میں اپنے ساتھ خدائی لیے ہوئے
عباس سو رہے ہیں ترائی لیے ہوئے
ہیبت علی کے شیر کی دریا پہ چھائی ہے
۸
جس دل کو دیکھیے وہ بہتر کی قبر ہے
قاسم کی قبر ہے کہیں اصغر کی قبر ہے
بھائی سے پائینتی دلِ مضطر کی قبر ہے
لیلیٰ سے کوئی کہہ دے یہ اکبر کی قبر ہے
مٹی میں کس نے چاند سی صورت چھپائی ہے
Utho Husain Tum Se
Utho Husain tum se bahan milne aayi hai
Mayyat nahiṅ to qabr gale se lagaayi hai
Ek bekasi faza-e-haqiqat meiṅ chhaayi hai
Jangal pasand aa gaya basti basaayi hai
Khushbu lahu ki khaak ke zarroṅ meiṅ paayi hai
Phir Karbala se qaid meiṅ taqdir laayi hai
Mayyat nahiṅ to qabr gale se lagaayi hai
1
Duba hua lahu meiṅ hai maghrib ka aaftaab
Har zarra Karbala ka hai dunya-e-inqilaab
Laila ka chaand aur wo zulfoṅ meiṅ pech o taab
Sine meiṅ zakhm le gaya ujra hua shabaab
Qaatil ne dil ko dekh ke barchhi lagaayi hai
2
Ujri hui zamiṅ hai to benur aasmaaṅ
Kab khatm dekho hota hai Zainab ka imtihaaṅ
Sunte haiṅ khul gayi thi muqaddar se resmaaṅ
Baazu meiṅ aur gale meiṅ haiṅ ubhre hue nishaaṅ
Kya jaane kitni qaid meiṅ taklif uthaayi hai
3
Jo dil ko taaza karta hai ban bhi nahiṅ mila
Sukhe hue guloṅ ko chaman bhi nahiṅ mila
Shikwa nahiṅ koi jo watan bhi nahiṅ mila
Chaadar nahiṅ mili to kafan bhi nahiṅ mila
Bete ne aa ke qaid se turbat banaayi hai
4
Mushkil bahut thi raah magar kaam kar gaye
Maaṅ dekhti thi god ke paale kidhar gaye
Ek daagh dil meiṅ chhor diya aur guzar gaye
Jhula bhi khatm ho gaya Asghar bhi mar gaye
Bachche ki qabr maaṅ ne gale se lagaayi hai
5
Jo lab pe aah thi wo dil-e-zaar tak gayi
Gham ki umang aansuoṅ ke dhaar tak gayi
Baaloṅ se muṅh ko dhaaṅp ke baazaar tak gayi
Kya kar kahuṅ Yazid ke darbaar tak gayi
Gardish na jaane kaise muqaddar ne khaayi hai
6
Ujre hue qayaam ka baaqi nahiṅ nishaaṅ
Hadd-e-tasawwuraat se bhi kho gaye makaaṅ
Asghar hai ab na pyaas se sukhi hui zabaaṅ
Nanhi lahad ko dhundti phirti hai ran meiṅ maaṅ
Jo bach gaye haiṅ ashk wo turbat pe laayi hai
7
Mashkiza apne saath fidaayi liye hue
Dil meiṅ bahan ki yaad ko bhai liye hue
Qabze meiṅ apne saath khudaayi liye hue
Abbas so rahe haiṅ taraayi liye hue
Haibat Ali ke sher ki darya pe chhaayi hai
8
Jis dil ko dekhiye wo bahattar ki qabr hai
Qasim ki qabr hai kahiṅ Asghar ki qabr hai
Bhai se paayinti dil-e-muztar ki qabr hai
Laila se koi keh de ye Akbar ki qabr hai
Mitti meiṅ kis ne chaand si surat chhupaayi hai