اٹھائے ہوئے گود میں سر پدر کا
Uthaye Huwe Godh
Show
اٹھائے ہوئے گود میں سر پدر کا
اٹھائے ہوئے گود میں سر پدر کا
سکینہ یہ کہتی تھیں لے کر بلائیں
سناتی ہوں میں قید خانے کی باتیں
مجھے آپ مقتل کی باتیں سنائیں
۱
لبوں پہ چھڑی آپ کے جب لگی تھی
میں دربار میں سامنے ہی کھڑی تھی
لگائے طمانچے مجھے جب شقی نے
نظر آپ کی میری جانب اٹھی تھی
یہ سب نیل چہروں کے شاہد ہیں کیسے
ہمیں شام والوں نے دی ہیں سزائیں
۲
میں ناقے پہ تھی آپ نیزے پہ بابا
میرے پاس سے سر کبھی جو گزرتا
میں ناقے سے خود کو زمیں پر گراتی
لعیں آ کے بالوں سے مجھ کو اٹھاتا
میرا کون تھا جس کو آواز دیتی
کسے کہتی ظالم سے آ کر بچائیں
۳
رسن ایک تھی اور بارہ گلے تھے
یوں ہم لوگ بازار میں چل رہے تھے
میں کمسن تھی ہمراہ چلنا تھا مشکل
سو اک موڑ پر گر پڑی لڑکھڑا کے
بڑی مشکلوں سے اٹھایا پھوپھی نے
لعینوں کی خواہش تھی بس روند جائیں
۴
مسلسل ستم کر رہے تھے ستمگر
بہت خوش تھے وہ کاٹ کر آپ کا سر
عجب آگ تھی شام والوں کے دل میں
نہ ٹھنڈا ہوا دل جو خنجر چلا کر
ستایا ہے یوں آپ کو ظالموں نے
وہیں سر رکھا رکھی جس جا ردائیں
۵
کہیں تھی میں قیدن کہیں تھی یتیمہ
نئے شہر میں نام میرا نیا تھا
سفر نے مجھے اتنے القاب بخشے
کہ میں بھول بیٹھی تھی خود نام اپنا
میں یہ سارے دکھ بھول جاؤں گی بابا
سکینہ جو اک بار کہہ کر بلائیں
۶
لحد میں یہ بابا سے بولی وہ اکبر
مجھے یاد ہے کربلا کا وہ منظر
کہ سینے میں تھے تیر پیوست ہر جا
میں کس طرح سوؤں گی زخموں کے اوپر
میں کہتی نہیں مجھ کو سینے لگائیں
مجھے آج بس خاک پر ہی سلائیں
Uthaye Huwe Godh
Uthaye huwe god meiṅ sar pidar ka
Sakina ye kehti thiṅ le kar balaaeṅ
Sunaati huṅ maiṅ qaid khaane ki baateṅ
Mujhe aap maqtal ki baateṅ sunaaeṅ
1
Laboṅ pe chhari aap ke jab lagi thi
Maiṅ darbaar meiṅ saamne hi khari thi
Lagaaye tamaaṅche mujhe jab shaqi ne
Nazar aap ki meri jaanib uthi thi
Ye sab nil chehroṅ ke shaahid haiṅ kaise
Hameṅ Shaam waaloṅ ne di haiṅ sazaaeṅ
2
Maiṅ naaqe pe thi aap neze pe Baba
Mere paas se sar kabhi jo guzarta
Maiṅ naaqe se khud ko zamiṅ par giraati
Laiṅ aa ke baaloṅ se mujh ko uthaata
Mera kaun tha jis ko aawaaz deti
Kise kehti zaalim se aa kar bachaaeṅ
3
Rasan ek thi aur baarah gale the
Yuṅ hum log baazaar meiṅ chal rahe the
Maiṅ kamsin thi hamraah chalna tha mushkil
So ik mor par gir pari larkhara ke
Bari mushkiloṅ se uthaaya phuphi ne
Lainoṅ ki khwaahish thi bas raund jaaeṅ
4
Musalsal sitam kar rahe the sitamgar
Bahut khush the wo kaat kar aap ka sar
Ajab aag thi Shaam waaloṅ ke dil meiṅ
Na thanda hua dil jo khanjar chala kar
Sataaya hai yuṅ aap ko zaalimoṅ ne
Wahiṅ sar rakha rakhi jis jaa ridaaeṅ
5
Kahiṅ thi maiṅ qaidan kahiṅ thi yatima
Naye shehr meiṅ naam mera naya tha
Safar ne mujhe itne alqaab bakhshe
Ke maiṅ bhul baithi thi khud naam apna
Maiṅ ye saare dukh bhul jaauṅgi Baba
Sakina jo ik baar keh kar bulaaeṅ
6
Lahad meiṅ ye Baba se boli wo Akbar
Mujhe yaad hai Karbala ka wo manzar
Ke sine meiṅ the tir paiwast har jaa
Maiṅ kis tarah souṅgi zakhmoṅ ke upar
Maiṅ kehti nahiṅ mujh ko sine lagaaeṅ
Mujhe aaj bas khaak par hi sulaaeṅ