Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ان پر فدا قسم بخدا جو مدام ہیں

Un Par Fida Qasam Bakhuda Jo Mudaam Haiṅ

Add to set
Show

ان پر فدا قسم بخدا جو مدام ہیں

ان پر فدا قسم بخدا جو مدام ہیں ان کے لیے بہشت میں کوثر کے جام ہیں
۱ بارہ امام وردِ زبان صبح و شام ہیں اول علیِ پاک شہِ خاص و عام ہیں اور دوسرے حسن شہِ عالی مقام ہیں اور تیسرے حسین الہِ اسلم ہیں
۲ چوتھے امام ہیں میرے سجاد دل فگار اور پانچویں ہیں باقر ذی قدر ذی وقار جعفر چھٹے ہیں سرور ذی جاہ نامدار اور ساتویں ہیں موسیٰ کاظم یہ دل نثار
۳ ہیں آٹھویں امام رضا سرورِ انام اے دل نویں امام تقی ہیں بلند مقام دسویں نقی ہیں گیارہویں ہیں عسکری امام اور بارہویں ہیں مہدیِ دین بھیج تو سلام
۴ دن رات جو بھی ورد کرے ان کے نام کو یہ نام شاہ کرتے ہیں پل میں غلام کو پہنچاؤ صبح و شام صدا اس پیام کو گر پینا چاہتے ہو جو کوثر کے جام کو

Un Par Fida Qasam Bakhuda Jo Mudaam Haiṅ

Un par fida qasam bakhuda jo mudaam haiṅ Un ke liye bahisht meiṅ Kausar ke jaam haiṅ
1 Baarah Imam wird-e-zabaan subh o shaam haiṅ Awwal Ali-e-Paak Sheh-e-khaas o aam haiṅ Aur dusre Hasan Sheh-e-aali maqaam haiṅ Aur tisre Husain Alh-e-Aslam haiṅ
2 Chauthe Imam haiṅ mere Sajjad dilfigaar Aur paaṅchweṅ haiṅ Baqir zi qadr zi wiqaar Jafar chhathe haiṅ sarwar zi jaah naamdaar Aur saatweṅ haiṅ Musa-e-Kaazim ye dil nisaar
3 Haiṅ aathweṅ Imam Raza sarwar-e-anaam Ae dil naweṅ Imam Taqi haiṅ buland maqaam Dasweṅ Naqi haiṅ gyaarahweṅ haiṅ Askari Imam Aur baarahweṅ haiṅ Mehdi-e-din bhej tu salaam
4 Din raat jo bhi wird kare in ke naam ko Ye naam shaah karte haiṅ pal meiṅ ghulaam ko Pahuṅchaao subh o shaam sada is payaam ko Gar pina chaahte ho jo Kausar ke jaam ko