Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

امت نے بعد احمد مرسل یہ کیا کیا

Ummat Ne Baade

Add to set
Show

امت نے بعد احمد مرسل یہ کیا کیا

امت نے بعد احمد مرسل یہ کیا کیا بے خوف ان کی بیٹی کے گھر کو جلا دیا
۱ برسائے تیر جس کے جنازے پہ برملا قبر نبی کے پہلو سے اس کو ہٹا دیا
۲ آرام گاہ مادر عباس بھی ہے یاں جس نے خدا وفاؤں کا بن کر دکھا دیا
۳ سجاد ناتواں بھی ہے زہرا کے پاس دفن بازارِ شام میں جسے در در پھرا دیا
۴ اک قبر امام جعفر صادق بھی ہیں یہاں جس نے اصول دیں میں الہی پناہ دیا
۵ پہلو بھی ہے شکستہ میرا اور قبر بھی امت نے یہ بھی بعد نبی ظلم ڈھا دیا
۶ ہم کو بھی اب سکون بھلا کیا ملے گا جب آرام گاہ فاطمہ زہرا کو ڈھا دیا
۷ مہدی ہی آ کے تربت زہرا بنائیں گے امت نے آج بنت نبی کو بھلا دیا
۸ تیرا کلام غم ہم میں ہے ڈوبا ہوا نجف جس نے تو سنگ دل کو بھی آخر رلا دیا

Ummat Ne Baade

Ummat ne baad-e-Ahmad-e-Mursal ye kya kiya Bekhauf un ki beti ke ghar ko jala diya
1 Barsaae tir jis ke janaaze pe barmala Qabr-e-Nabi ke pehlu se us ko hata diya
2 Aaraam gaah-e-maadar-e-Abbas bhi hai yaaṅ Jis ne khuda wafaaoṅ ka ban kar dikha diya
3 Sajjad naatawaaṅ bhi hai Zehra ke paas dafn Baazaar-e-Shaam meiṅ jise dar dar phira diya
4 Ik qabr Imam Jaafar-e-Saadiq bhi haiṅ yahaaṅ Jis ne usul-e-diṅ meiṅ ilaahi panaah diya
5 Pehlu bhi hai shikasta mera aur qabr bhi Ummat ne ye bhi baad-e-Nabi zulm dha diya
6 Hum ko bhi ab sukun bhala kya mile ga jab Aaraam gaah-e-Faatima Zehra ko dha diya
7 Mehdi hi aa ke turbat-e-Zehra banaaeṅ ge Ummat ne aaj bint-e-Nabi ko bhula diya
8 Tera kalaam gham meiṅ hai duba hua Najaf Jis ne to sang dil ko bhi aakhir rula diya