طفلانِ مسلم
Tiflan-e-Muslim
Show
طفلانِ مسلم
مسلم کے دونوں لال نواسے علی کے ہیں
۱
عکسِ ابو تراب ہیں مسلم کے گلبدن
اسلام کا شباب ہیں مسلم کے گلبدن
ہر کفر کا جواب ہیں مسلم کے گلبدن
توحید کے گلاب ہیں مسلم کے گلبدن
حق کی حقیقتوں کا ہی مفہوم ہو گئے
دو انبیا کے اسموں سے موسوم ہو گئے
۲
یہ دونوں شہزادے ہیں خلقت کا اک کمال
فرزند ہیں یہ جس کے ہیں آپ اپنی وہ مثال
چہرے میں ان کے چہرۂ حیدر کے خد و خال
یوسف ہو ان کے سامنے یوسف کی کیا مجال
ہوں ان کے روبرو تو ستارے بھی ماند ہیں
مسلم کے چاند بھی بنی ہاشم کے چاند ہیں
۳
دونوں کا حسن حسنِ رخِ کردگار ہے
دونوں میں نورِ ربِ جلی جلوہ بار ہے
ہر ایک ان میں حسن کا آئینہ دار ہے
دونوں میں عکسِ چہرۂ پروردگار ہے
کیسے بیان ہوں زاویے ان کی جبیں کے
یہ دونوں شہزادے ہیں ام البنین کے
۴
یہ رنگ روپ کب کسی گل یا کلی کے ہیں
یہ نسل ہیں عقیل کی بیٹے ولی کے ہیں
شیروں کا جو محلہ ہے یہ اس گلی کے ہیں
عباس کے ہیں بھانجے نواسے علی کے ہیں
اسلام کی بقا ہی تو ان کا جنون ہے
ان کی رگوں میں بھی ابو طالب کا خون ہے
۵
ان سا کہیں کسی کا بھی جاہ و حشم نہیں
ان کے گھرانے جیسا کوئی محترم نہیں
ہے کون سا خدا کا جو ان پر کرم نہیں
شبیر کو یہ اصغر و اکبر سے کم نہیں
دونوں سکونِ قلبِ پیمبر کا چین ہیں
چشمِ علی میں یہ بھی حسن اور حسین ہیں
۶
دونوں کمالِ قدرتِ ربِ مبین ہیں
دونوں دلِ حسین کے اندر مکیں ہیں
سورج کو جن پہ رشک یہ وہ مہ جبیں ہیں
دونوں ہی بھائی حسن سے بڑھ کر حسیں ہیں
کرتے یہ حملے حیدرِ کرار کی طرح
لڑتے تو یہ بھی لڑتے علمدار کی طرح
Tiflan-e-Muslim
Muslim ke dono laal nawaase Ali ke haiṅ
1
Aks-e-Abu Turaab haiṅ Muslim ke gulbadan
Islam ka shabaab haiṅ Muslim ke gulbadan
Har kufr ka jawaab haiṅ Muslim ke gulbadan
Tauhid ke gulaab haiṅ Muslim ke gulbadan
Haq ki haqiqatoṅ ka hi mafhum ho gaye
Do anbiya ke asmoṅ se mausum ho gaye
2
Ye dono shahzaade haiṅ khilqat ka ik kamaal
Farzand haiṅ ye jis ke haiṅ aap apni wo misaal
Chehre meiṅ in ke chehra-e-Haider ke khad o khaal
Yusuf ho in ke saamne Yusuf ki kya majaal
Hoṅ in ke rubaru to sitaare bhi maand haiṅ
Muslim ke chaand bhi Bani Haashim ke chaand haiṅ
3
Dono ka husn husn-e-rukh-e-Kirdgaar hai
Dono meiṅ nur-e-Rab-e-Jali jalwa bar hai
Har ek un meiṅ husn ka aaina daar hai
Dono meiṅ aks-e-chehra-e-Parwardigaar hai
Kaise bayaan hoṅ zaawiye in ki jabiṅ ke
Ye dono shahzaade haiṅ Umm-ul-Banin ke
4
Ye rang rup kab kisi gul ya kali ke haiṅ
Ye nasl haiṅ Aqil ki bete wali ke haiṅ
Sheroṅ ka jo muhalla hai ye us gali ke haiṅ
Abbas ke haiṅ bhaanje nawaase Ali ke haiṅ
Islam ki baqaa hi to in ka junun hai
In ki ragoṅ meiṅ bhi Abu Taalib ka khun hai
5
In sa kahiṅ kisi ka bhi jaah o hasham nahiṅ
In ke gharaane jaisa koi mohtaram nahiṅ
Hai kaun sa Khuda ka jo in par karam nahiṅ
Shabbir ko ye Asghar o Akbar se kam nahiṅ
Dono sukun-e-qalb-e-Payambar ka chain haiṅ
Chashm-e-Ali meiṅ ye bhi Hasan aur Husain haiṅ
6
Dono kamaal-e-qudrat-e-Rab-e-Mubin haiṅ
Dono dil-e-Husain ke andar makiṅ haiṅ
Suraj ko jin pe rashk ye wo mahjabiṅ haiṅ
Dono hi bhai husn se barh kar hasiṅ haiṅ
Karte ye hamle Haider-e-Karraar ki tarah
Larte to ye bhi larte Alamdaar ki tarah