← All lyrics

تیری امت کے زیور پہن کر

Teri Ummat Ke Zewar Pehen Kar Dekho Nana Chali Hoon Main Sham

Cover image for Teri Ummat Ke Zewar Pehen Kar Dekho Nana Chali Hoon Main Sham
Language
Urdu
تیری امت کے زیور پہن کر دیکھو نانا چلی ہوں میں شام 1 میں دیتی کفن تجھ کو بھیا گر سر پہ ردا میرے ہوتی گر ہوتے کھلے ہاتھ میرے تیرے زخموں کو ہاتھوں سے دھوتی پابندِ رسن سر برہنہ دیکھو بھیا چلی ہوں میں شام 2 تیرے بچوں کو لے کر گئی میں شب بھر ساری روتی رہی ہوں کبھی غازیؑ کا لہجہ بدل کر میں پہرے بھی دیتی رہی ہوں ان بیوہ بہو بیٹیوں سے کیوں کرتے نہیں ہو کلام 3 میرے عابدؑ پہ طاری غشی تھی اور کلثومؑ سہمی کھڑی تھی کبھی دیکھوں میں زخمی سکینہؑ جس کے دامن میں آگ لگی تھی کبھی روؤں میں اپنی ردا کو کبھی دیکھوں میں جلتے خیام 4 ہائے نانا میں کیسے سناؤں دربارِ شقی کا وہ منظر سبھی قاری و حافظ تھے بیٹھے اور سر پہ نہ تھی میرے چادر ہائے نانا تیری بیٹیوں کو یوں لائے ہیں سر ننگے عام 5 جس زینبؑ کو تم نے برادر کبھی نظریں اٹھا کر نہ دیکھا ہاتھ رسی میں میرے بندھے ہیں اور سر پر نہیں میرے چادر کیسے کوفے میں جاؤں گی غازی جب مجمع میں آئے گا نام 6 جیسے دربار پاس آ رہا ہے میرا دل ڈوبتا جا رہا ہے میں تو گھر میں بھی کم بولتی تھی بھائی تم کو تو سب کچھ پتا ہے کس طرح سے کرے گی بتا دو اک شرابی سے زینبؑ کلام 7 جب روتی تھی بالی سکینہؑ اور بابا کو اپنے بلاتی میں دیتی تھی اُس کو تسلی اور سینے پہ اپنے سلاتی ڈھونڈ زندان میں معصوم بچی لے لے کے وہ بابا کا نام 8 جس زینبؑ کو تم نے برادر کبھی نظریں اٹھا کر نہ دیکھا ہاتھ رسی سے میرے باندھے ہیں اور سر پر نہیں میرے پردہ کیسے کوفے میں جاؤں گی غازی جب بلوے میں آئے گا نام 9 جیسے دربار پاس آ رہا ہے میرا دل ڈوبتا جا رہا ہے میں تو گھر میں بھی کم بولتی تھی بھائی تم کو تو سب کچھ پتا ہے کس طرح سے کرے گی بتا دے اک شرابی سے زینبؑ کلام 10 دل یہ کہتا ہے رو رو کے بھیا کاش عباسؑ موجود ہوتا کاٹ دیتا وہ اس کی زباں کو کوئی باغی اگر مجھ کو کہتا دیکھتی پھر میں کس طرح لیتا کوئی زینبؑ کا مجمع میں نام 11 کہہ رہے ہیں یہ ہنس ہنس کے شامی آنے والے ہیں دربار باغی جس نے اجداد مارے ہمارے آ رہی ہے یہاں اس کی بیٹی کھولتا پانی پھینکو چھتوں سے پتھروں کا کرو انتظام

Roman Urdu

Teri Ummat Ke Zewar Pehen Kar Dekho Nana Chali Hoon Main Sham 1 Main Deti Kafan Tujh Ko Bhaiya Gar Sar Pe Rida Mere Hoti Gar Hote Khule Haath Mere Tere Zakhmon Ko Haathon Se Dhoti Paband-e-Rasan Sar Barahna Dekho Bhaiya Chali Hoon Main Sham 2 Tere Bachchon Ko Le Kar Gayi Main Shab Bhar Saari Roti Rahi Hoon Kabhi Ghazi Ka Lehja Badal Kar Main Pehre Bhi Deti Rahi Hoon In Bewa Bahu Betiyon Se Kyun Karte Nahin Ho Kalaam 3 Mere Abid Pe Taari Ghashi Thi Aur Kulsoom Sehmi Khari Thi Kabhi Dekhoon Main Zakhmi Sakina Jis Ke Daaman Mein Aag Lagi Thi Kabhi Roun Main Apni Rida Ko Kabhi Dekhoon Main Jalte Khiyam 4 Haye Nana Main Kaise Sunaun Darbar-e-Shaqi Ka Woh Manzar Sabhi Qari-o-Hafiz The Baithe Aur Sar Pe Na Thi Mere Chadar Haye Nana Teri Betiyon Ko Yun Laye Hain Sar Nange Aam 5 Jis Zainab Ko Tum Ne Baradar Kabhi Nazrein Utha Kar Na Dekha Haath Rassi Mein Mere Bandhe Hain Aur Sar Par Nahin Mere Chadar Kaise Koofe Mein Jaungi Ghazi Jab Majma Mein Aayega Naam 6 Jaise Darbar Paas Aa Raha Hai Mera Dil Doobta Ja Raha Hai Main To Ghar Mein Bhi Kam Bolti Thi Bhai Tum Ko To Sab Kuch Pata Hai Kis Tarah Se Karegi Bata Do Ik Sharabi Se Zainab Kalaam 7 Jab Roti Thi Baali Sakina Aur Baba Ko Apne Bulati Main Deti Thi Us Ko Tasalli Aur Seene Pe Apne Sulati Dhoond Zindan Mein Masoom Bachchi Le Le Ke Woh Baba Ka Naam 8 Jis Zainab Ko Tum Ne Baradar Kabhi Nazrein Utha Kar Na Dekha Haath Rassi Se Mere Bandhe Hain Aur Sar Par Nahin Mere Parda Kaise Koofe Mein Jaungi Ghazi Jab Balwe Mein Aayega Naam 9 Jaise Darbar Paas Aa Raha Hai Mera Dil Doobta Ja Raha Hai Main To Ghar Mein Bhi Kam Bolti Thi Bhai Tum Ko To Sab Kuch Pata Hai Kis Tarah Se Karegi Bata De Ik Sharabi Se Zainab Kalaam 10 Dil Yeh Kehta Hai Ro Ro Ke Bhaiya Kash Abbas Maujood Hota Kaat Deta Woh Us Ki Zaban Ko Koi Baghi Agar Mujh Ko Kehta Dekhti Phir Main Kis Tarah Leta Koi Zainab Ka Majma Mein Naam 11 Keh Rahe Hain Yeh Hans Hans Ke Shami Aane Wale Hain Darbar Baghi Jis Ne Ajdad Mare Hamare Aa Rahi Hai Yahan Us Ki Beti Kholta Pani Phenko Chhaton Se Pattharon Ka Karo Intizam