Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہائے افسوس تو نہ پہچانی

Tere Mehman Aaye

Add to set
Show

ہائے افسوس تو نہ پہچانی

ہائے افسوس تو نہ پہچانی
کربلا سے لٹے لٹائے ہوئے تیرے مہمان آئے ہیں شیریں اپنا وعدہ نبھانے نیزوں پر کچھ مسلمان آئے ہیں شیریں
۱ گھر سجا اپنا بے گھروں کے لئے چادریں لا کے دے سروں کے لئے سر پہ غربت کی دھوپ اوڑھے ہوئے سب پریشان آئے ہیں شیریں
۲ اک کٹے سر سے آ رہی تھی صدا تیرے آقا کے پاس کچھ نہ بچا کوئی تحفہ نہ لائے تیرے لئے ہم پشیمان آئے ہیں شیریں
۳ تیرا گھر اور کہاں رسول کی آل کر نبی زادیوں کا استقبال آج تیرے غریب خانے پر دیں کے سلطان آئے ہیں شیریں
۴ وہ جو اٹھارہ سال کا سر ہے ام لیلیٰ کے لال کا سر ہے ماں کے ہمراہ خوں میں غلطاں ہے ماں کے ارمان آئے ہیں شیریں
۵ شہ کا غنچہ دہن بھی آیا ہے قاسم گل بدن بھی آیا ہے دیکھ اپنے لہو میں ڈوبے ہوئے کتنے قرآن آئے ہیں شیریں
۶ ساتھ عباس نامدار بھی ہے تیرے آقا کے جانثار بھی ہے راہ تکتی تھی جن کی خوابوں میں لے وہ انسان آئے ہیں شیریں
۷ کیا کہے داستان بربادی رو کے کہتی تھی ہر نبی زادی کھو کے اپنا مسافرت میں سبھی ساز و سامان آئے ہیں شیریں
۸ ہے کہاں اب دل بتول کو چین لٹ گئی رن میں کائنات حسین بن کے سجاد اپنے بابا کے مرثیہ خوان آئے ہیں شیریں
۹ دل لرزتا تھا عامر و اختر جب یہ کہتی تھی زینبِ مضطر بے ردائی میں شہر کوفہ کے راستے چھان آئے ہیں شیریں

Tere Mehman Aaye

Haye afsos tu na pehchani
Karbala se lute lutaye huwe Tere mehmaan aaye haiṅ Shiriṅ Apna waada nibhaane nezoṅ par Kuch Musalmaan aaye haiṅ Shiriṅ
1 Ghar saja apna begharoṅ ke liye Chaadareṅ laa ke de saroṅ ke liye Sar pe ghurbat ki dhup orhe huwe Sab pareshaan aaye haiṅ Shiriṅ
2 Ik kate sar se aa rahi thi sada Tere aaqa ke paas kuch na bacha Koi tohfa na laaye tere liye Hum pashemaan aaye haiṅ Shiriṅ
3 Tera ghar aur kahaaṅ Rasul ki aal Kar nabi zaadiyoṅ ka istiqbaal Aaj tere gharib khaane par Diṅ ke sultaan aaye haiṅ Shiriṅ
4 Wo jo athaarah saal ka sar hai Umm-e-Laila ke laal ka sar hai Maaṅ ke hamraah khuṅ meiṅ ghaltaaṅ hai Maaṅ ke armaan aaye haiṅ Shiriṅ
5 Shah ka ghuncha dahan bhi aaya hai Qasim-e-gul badan bhi aaya hai Dekh apne lahu meiṅ dube huwe Kitne Quraan aaye haiṅ Shiriṅ
6 Saath Abbas-e-naamdaar bhi hai Tere aaqa ke jaannisaar bhi hai Raah takti thi jin ki khwaaboṅ meiṅ Le wo insaan aaye haiṅ Shiriṅ
7 Kya kahe daastaan-e-barbaadi Ro ke kehti thi har nabi zaadi Kho ke apna musafirat meiṅ sabhi Saaz o saamaan aaye haiṅ Shiriṅ
8 Hai kahaaṅ ab dil-e-Batul ko chain Lut gayi ran meiṅ kaainaat-e-Husain Ban ke Sajjad apne baaba ke Marsiya khwaan aaye haiṅ Shiriṅ
9 Dil larazta tha Aamir o Akhtar Jab ye kehti thi Zainab-e-muztar Beridaai meiṅ shehr-e-Kufa ke Raaste chhaan aaye haiṅ Shiriṅ