کربلا ہو چکی تیار، تقدم ولدی
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi

- Language
- Urdu
Roman Urdu
1
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
Barhe aate hain jafakar, taqaddam waladi
Charon janib se hai yalghar, taqaddam waladi
Hoti hai teeron ki bochhar, taqaddam waladi
Zad pe hain sab mere ansar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
2
Waqt yeh woh hai ke talwar utha len hum log
Deen-e haq ko kisi soorat se bacha len hum log
Kyun kisi aur pe is baar ko dalen hum log
Kyun na yeh maarka khud aap sambhalen hum log
Kheench kar niyam se talwar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
3
Ay mere lakht-e jigar, ay mere pyare farzand
Hain yeh nau laakh to kya, azm to hai apna buland
Aage aage saf-e awwal ke rahe apna samand
Mere ashab ko pahunche na kahin koi gazand
Teer aate hain lagatar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
4
Bhai Abbas sambhale rahen lashkar ka nizam
Qasim-o-Aun-o-Muhammad rahen nazdeek-e khiyam
Taake is samt ka rukh kar na sake lashkar-e Shaam
Aur tum bahr-e wigha aage barho le ke husam
Tera Allah madadgar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
5
Deen nana ka mite aur nawasa seh le
Yeh na hoga kabhi hum se koi kuch bhi keh le
Khoon behta hai to hum logon ka is par beh le
Bhejta jang pe Abid ko main tum se pehle
Magar Abid to hain beemar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
6
Mujh se yeh chahte hain Badr-o-Uhad ka badla
Mere aslaf ki har jadd-o-jehad ka badla
Deen-e Islam ki nusrat ka, madad ka badla
Baap se tere yeh len ge tere jad ka badla
Hum hain is ke liye tayyar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
7
Hum ko tareekh badal deni hai dasht-o-dar ki
Pare aainda nazar jis pe zamane bhar ki
Gar zaroorat ho to baazi bhi laga do sar ki
Aakhri jang samajh lo ise apne ghar ki
Jane phir kab khinche talwar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
8
Kahin aisa na ho Abbas-e Ali, batal-e jaleel
Is tarah dekh ke barbadi-e gulzar-e Khaleel
Tum se pehle hi woh kar jayen wigha mein ta’jeel
Kar ke Qasim ke hawale alam-e fauj-e qaleel
Khud barhen tol ke talwar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
9
Kahin aisa na ho Zainab ko khabar ho jaye
Aur talab Aun-o-Muhammad ki udhar ho jaye
Taron ko izn-e safar qabl-e qamar ho jaye
Meri tarteeb hi sab zer-o-zabar ho jaye
Ho sake hum se na inkar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi
10
Umm-e Laila dar-e khaima se kahin dekh na le
Rukh tumhara hai soo-e fauj-e laeen dekh na le
Abr mein jate hue mah-e mubeen dekh na le
Sher ko nezon ke jungle ke qareen dekh na le
Phir to jana bhi hai dushwar, taqaddam waladi
Karbala ho chuki tayyar, taqaddam waladi