Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

حسن حسین سے پہلے شہید کمسن ہے

Syeda Ka Mohsin

Add to set
Show

حسن حسین سے پہلے شہید کمسن ہے

حسن حسین سے پہلے شہید کمسن ہے وہ کوئی اور نہیں سیدہ کا محسن ہے
۱ ہوا شہید جو دیوار و دَر کے بیچ آ کر جسے بچانے سے زخمی ہے پہلوئے مادر اداس اس کے لئے رات غمزدہ دن ہے
۲ وہ جس نے کربوبلا کا سفر کیا ہی نہیں زباں سے جس نے ابھی ماں کو ماں کہا ہی نہیں وہ جھولتا کسی جھولے میں کیا یہ ممکن ہے
۳ علی نے ایسا جنازہ کہاں اٹھایا ہے شہید ہو کے جو میدان غم میں آیا ہے وہ شیرخوار جو نہ واقف قد و سن ہے
۴ وہ جس کو غسل و کفن کی کہاں ضرورت تھی وہ جس کے تن پہ بہ مثل خدا طہارت تھی جو کربلا کی زمیں کا امام ضامن ہے
۵ قسم خدا کی بہ مثل حسین ابنِ علی شہید ہو گیا لیکن مدد کسی کی نہ لی ملول اس کے لئے قوم زعفر جن ہے
۶ اسی کے عزم کی تقلید کی ہے اصغر نے اسے شہید کیا ہے ستم کے لشکر نے ملول تیغ علی اس شہید کے بن ہے
۷ فراق حضرت محسن میں مر گئی زہرا کسی بھی ماں پہ نہ اترے یہ بے اماں صدمہ یہ درد سمجھے گا ریحان جو بھی مومن ہے

Syeda Ka Mohsin

Hasan Husain se pehle shahid kamsin hai Wo koi aur nahiṅ Sayyeda ka Mohsin hai
1 Hua shahid jo diwaar o dar ke bich aa kar Jise bachaane se zakhmi hai pehlu-e-maadar Udaas is ke liye raat ghamzada din hai
2 Wo jis ne Karb o Bala ka safar kiya hi nahiṅ Zabaaṅ se jis ne abhi maaṅ ko maaṅ kaha hi nahiṅ Wo jhulta kisi jhule meiṅ kya ye mumkin hai
3 Ali ne aisa janaaza kahaaṅ uthaaya hai Shahid ho ke jo maidaan-e-gham meiṅ aaya hai Wo shirkhwaar jo na waaqif qad o sin hai
4 Wo jis ko ghusl o kafan ki kahaaṅ zarurat thi Wo jis ke tan pe ba misl-e-Khuda tahaarat thi Jo Karbala ki zamiṅ ka Imam-e-Zaamin hai
5 Qasam Khuda ki ba misl-e-Husain Ibn-e-Ali Shahid ho gaya lekin madad kisi ki na li Malul is ke liye qaum-e-Zaafar-e-jinn hai
6 Isi ke azm ki taqlid ki hai Asghar ne Ise shahid kiya hai sitam ke lashkar ne Malul tegh-e-Ali is shahid ke bin hai
7 Firaaq-e-Hazrat-e-Mohsin meiṅ mar gayi Zahra Kisi bhi maaṅ pe na utre ye beamaaṅ sadma Ye dard samjhega Rehaan jo bhi momin hai