Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سنو سنو قنبر کی اور فضہ کی گفتگو سنو

Suno Suno Qamber Ki Aur Fizza Ki Guftgu Suno

Add to set
Show

سنو سنو قنبر کی اور فضہ کی گفتگو سنو

۱ ہے دوستو یہ چشمِ تصور کا واقعہ اک دن ہوا جو قنبر و فضہ کا سامنا دونوں کو اہلِ بیت کی نسبت پہ ناز تھا پھر یہ ہوا کہ چھڑ گیا رتبوں کا تذکرہ اس گھر کے نوکروں کی ہے کیا آبرو سنو اس دم ہوئی تھی دونوں میں جو گفتگو سنو
۲ قنبر یہ بولا سب سے رتبہ ہے میرا جدا مشہور دو جہاں میں ہوں میں عبدِ مرتضیٰ مولا نے یوں کیا میری قسمت کا فیصلہ شایانِ شان مرتبہ مجھ کو عطا ہوا صد شکر میں غلامِ جنابِ امیر ہوں شاہوں کو بھیک دیتا ہوں ایسا فقیر ہوں
۳ فضہ نے دی صدا میرے پوچھو نہ مرتبے طے کرتی ہوں میں لمحوں میں صدیوں کے فاصلے مشہور دو جہاں میں ہیں میرے واقعات ہوتے ہیں عرش والوں میں بھی میرے تذکرے بس یہ صفت ہی کافی ہے کونین کے لیے میں روٹیاں پکاتی ہوں حسنین کے لیے
۴ قنبر یہ بولا آج سنو میرے معجزات بس میں ہی جانتا ہوں غلامی کی کل صفات جس دم علی کے قدموں پہ ہوتے ہیں میرے ہاتھ محسوس مجھ کو ہوتی ہے مٹھی میں کائنات ٹھوکر سے میری نور کے چشمے ابلتے ہیں شمس و قمر بھی میرے اشاروں پہ چلتے ہیں
۵ فضہ نے داد دے کے کہا میری بات سن کیسی حسیں ملی ہے مجھے کائنات سن وہ تیرے معجزے تھے میرے معجزات سن پہنچے ہیں کس مقام پہ فضہ کے ہاتھ سن میں نے حسن حسین کو ان سے اٹھایا ہے زینب کو میرے ہاتھوں نے چلنا سکھایا ہے
۶ قنبر یہ بولا سچ ہے میں کوئی نبی نہیں میرے لیے تو کوئی شریعت بنی نہیں مجھ کو کوئی کتاب خدا سے ملی نہیں پر میرے اختیار میں بھی کچھ کمی نہیں حیدر کی نوکری کے سبب کامیاب ہوں میں چلتی پھرتی عشقِ علی کی کتاب ہوں
۷ فضہ یہ بولی دیکھ ہے عصمت کا میں نے نور خیر النسا کے فیض سے حاصل ہے یہ غرور مریم سے بڑھ کے بخشا گیا ہے مجھے شعور مجھ سے رکھا ہے فاطمہ زہرا نے رجس سے دور خلقت سے واقفِ خدمتِ بنتِ رسول ہوں صدقہ ہے یہ بتول کا میں بھی بتول ہوں
۸ قنبر یہ بولا ماننے والا ہوں وصل کا قائل ہوں دل سے میں بھی بلا فصل وصل کا سیکھا ہے با کے نقطے سے ہر نقطہ عقل کا مجھ کو ملا ہے درس امامت سے عدل کا ثانی نہیں ہے کوئی میرا خاص و عام میں مولا نے میرا ہاتھ بتایا ہے کام میں
۹ فضہ یہ بولی ہاں یہ علی کا اصول ہے یہ بھی سوچ میری مدرس بتول ہے جس کے سبب شریعتوں کا عرض و طول ہے احسان کسی کا فاطمہ کو کب قبول ہے بنتِ نبی سے میں نے مساوات سیکھی ہے خود فاطمہ نے چکی میرے ساتھ پیسی ہے
۱۰ اکبر قلم کو روک لے مشکل ہے فیصلہ اس در کی نوکری کا شرف ہے بہت بڑا کتنی فضیلتوں کا ہے منظر یہ مرتبہ یہ خادمِ علی ہیں تو وہ زہرا کی خادمہ دونوں کی بات اپنی جگہ لاجواب ہے ان کی کوئی مثال نہ ان کا جواب ہے

Suno Suno Qamber Ki Aur Fizza Ki Guftgu Suno

1 Hai dosto ye chashm-e-tasawwur ka waaqia Ik din hua jo Qanbar o Fizza ka saamna Donoṅ ko Ahl-e-Bait ki nisbat pe naaz tha Phir ye hua ke chhir gaya rutboṅ ka tazkira Is ghar ke naukaroṅ ki hai kya aabru suno Us dam hui thi donoṅ meiṅ jo guftgu suno
2 Qanbar ye bola sab se rutba hai mera juda Mashhur do jahaaṅ meiṅ huṅ maiṅ Abd-e-Murtaza Maula ne yuṅ kiya meri qismat ka faisla Shaayaan-e-shaan martaba mujh ko ata hua Sad shukr maiṅ ghulaam-e-Janaab-e-Amir huṅ Shaahoṅ ko bhik deta huṅ aisa faqir huṅ
3 Fizza ne di sada mere puchho na martabe Tai karti huṅ maiṅ lamhoṅ meiṅ sadiyoṅ ke faasle Mashhur do jahaaṅ meiṅ haiṅ mere waqay Hote haiṅ arsh waaloṅ meiṅ bhi mere tazkire Bas ye sifat hi kaafi hai Kaunain ke liye Maiṅ rotiyaaṅ pakaati huṅ Hasnain ke liye
4 Qanbar ye bola aaj suno mere moajizaat Bas maiṅ hi jaanta huṅ ghulaami ki kul sifaat Jis dam Ali ke qadmoṅ pe hote haiṅ mere haath Mehsus mujh ko hoti hai muththi meiṅ kaainaat Thokar se meri nur ke chashme ubalte haiṅ Shams o qamar bhi mere ishaaroṅ pe chalte haiṅ
5 Fizza ne daad de ke kaha meri baat sun Kaisi hasiṅ mili hai mujhe kaainaat sun Woh tere moajize the mere moajizaat sun Pahuṅche haiṅ kis maqaam pe Fizza ke haath sun Maiṅ ne Hasan Husain ko in se uthaaya hai Zainab ko mere haathoṅ ne chalna sikhaaya hai
6 Qanbar ye bola sach hai maiṅ koi Nabi nahiṅ Mere liye to koi shariat bani nahiṅ Mujh ko koi kitaab Khuda se mili nahiṅ Par mere ikhtiyaar meiṅ bhi kuchh kami nahiṅ Haidar ki naukari ke sabab kaamyaab huṅ Maiṅ chalti phirti ishq-e-Ali ki kitaab huṅ
7 Fizza ye boli dekh hai ismat ka maiṅ ne nur. Khair-ul-Nisa ke faiz se haasil hai ye ghurur Maryam se barh ke bakhsha gaya hai mujhe shuur Mujh se rakha hai Fatima Zahra ne rijs se dur Khilqat se waaqif-e-khidmat-e-Bint-e-Rasul huṅ Sadqa hai ye Batul ka maiṅ bhi Batul huṅ.
8 Qanbar ye bola maanne waala huṅ wasl ka Qaail huṅ dil se maiṅ bhi bila fasl wasl ka Sikha hai ba ke nuqte se har nuqta aql ka Mujh ko mila hai dars imaamat se adl ka Saani nahiṅ hai koi mera khaas o aam meiṅ Maula ne mera haath bataaya hai kaam meiṅ
9 Fizza ye boli haaṅ ye Ali ka usul hai Ye bhi soch meri mudarris Batul hai Jis ke sabab shariatoṅ ka arz o tul hai Ehsaan kisi ka Fatima ko kab qubul hai Bint-e-Nabi se maiṅ ne masaawaat sikhi hai Khud Fatima ne chakki mere saath pisi hai.
10 Akbar qalam ko rok le mushkil hai faisla Is dar ki naukari ka sharaf hai bahut bara Kitni fazilatoṅ ka hai manzar ye martaba Ye khaadim-e-Ali haiṅ to wo Zahra ki khaadima Donoṅ ki baat apni jagah laajawaab hai In ki koi misaal na un ka jawaab hai