سنو شانِ فاطمہ سنو شانِ سیدہ
Suno Shaan-e-Fatima Suno Shaan-e-Syeda
Show
سنو شانِ فاطمہ سنو شانِ سیدہ
سنو شانِ فاطمہ سنو شانِ سیدہ
۱
زہرا کی بات ہو گی بڑی آن بان سے
ذیشان جس کی شان ہے دونوں جہان سے
ہے جس کے گھر کا فرش بلند آسمان سے
دولہا جسے ملا ہے خدا کے مکان سے
خیرات جس کے در سے ہر اک عالی جاہ لے
بے سایہ جس کے سائے میں آ کر پناہ لے
۲
جو دو جہاں کا چین ہے یہ اس کا چین ہے
زینب کی ماں ہے چہرۂ یزداں کی زین ہے
ربِ حسن ہے فاطمہ ربِ حسین ہے
یہ عینِ حق ہے اس کا عدو عین غین ہے
سن کر خدا کے دین کی چیخ و پکار کو
پالا ہے اس نے صبر کے پروردگار کو
۳
مضمون دو جہاں ہیں عنوان فاطمہ
محسن خدا کی ذات ہے احسان فاطمہ
قرآن کو پڑھاتی ہیں قرآن فاطمہ
مشکل علی کی کرتی ہیں آسان فاطمہ
قولِ نبی ہے امِ ابیہا بتول ہیں
اللہ کے رسول کی زہرا رسول ہیں
۴
روشن ہے اتنا سیدۂ پاک کا مکاں
باطل پہ اس کا نور گراتا ہے بجلیاں
پھیلا ہوا ہے نورِ ولا کا حسیں سماں
جھک جھک کے اس کو دیکھتا رہتا ہے آسماں
عرشِ بریں ادب سے قدم بوس ہو گیا
سورج بھی آ گیا تو اجالوں میں کھو گیا
۵
سدرہ سے بھی عظیم ہے خیر النسا کا گھر
کرتی ہیں ساری منزلیں اس کے لیے سفر
اچھی طرح سے حضرتِ جبریل کو خبر
پوچھے بغیر آئیں تو جل جائیں ان کے پر
پابندی سب کو کرنی ہے اس کے اصول کی
آتے نہیں بغیر اجازت رسول بھی
۶
اس گھر میں فاطمہ ہیں علی ہیں حسن حسین
آباد ہیں یہاں پہ زمانے کے سیدین
مخدوم ان کا گھر ہے دو عالم ہیں خادمین
ملتا ہے اس کو دیکھ کے اللہ کو بھی چین
جلوؤں سے اس کے سارا جہاں جگمگائے گا
اس گھر سے جو جلے گا جہنم میں جائے گا
۷
آئین دو جہاں کا بناتی ہیں فاطمہ
جھولا مشیتوں کو جھلاتی ہیں فاطمہ
نبیوں کو ان کے کام بتاتی ہیں فاطمہ
اللہ کا نظام چلاتی ہیں فاطمہ
اس شان سے قیام ہے ارضِ یقیں پر
جب چاہیں آسماں بچھا دیں زمیں پر
۸
جلوے عجب دکھاتی ہیں خیر النسا کی ذات
تسبیح ایک ہاتھ میں چکی پہ ایک ہاتھ
کونین گھومتے ہیں اشاروں کے ساتھ ساتھ
ان کی کنیز روزِ ازل سے ہے کائنات
کس کی مجال ہے کہ کوئی بات ٹال دے
یہ جس کو چاہے کون و مکاں سے نکال دے
۹
منسوب وہ حدیثِ کسا ہے جناب سے
عاجز ہے کفر آج بھی جس کے جواب سے
روشن دل و دماغ ہیں جس آفتاب سے
ہم نے یہی سنا ہے رسالت مآب سے
علم و ہنر کا موڑ حدیثِ کسا میں ہے
قرآن کا نچوڑ حدیثِ کسا میں ہے
۱۰
گوہر یہ بزمِ ملکۂ یومِ الست ہے
ایمان کی غذا کا بڑا بندوبست ہے
ہر شخص آج عشق کی مستی میں مست ہے
زہرا کے دشمنوں کی مکمل شکست ہے
محفل قلندرانہ سدا ہے جو سج گئی
لفظوں نے وہ دھمال کیا دھوم مچ گئی
Suno Shaan-e-Fatima Suno Shaan-e-Syeda
Suno Shaan-e-Fatima Suno Shaan-e-Syeda
1
Zahra ki baat ho gi bari aan baan se
Zishaan jis ki shaan hai donoṅ jahaan se
Hai jis ke ghar ka farsh buland aasmaan se
Dulha jise mila hai Khuda ke makaan se
Khairaat jis ke dar se har ik aali jaah le
Besaaya jis ke saaye meiṅ aa kar panaah le
2
Jo do jahaaṅ ka chain hai ye us ka chain hai
Zainab ki maaṅ hai chehra-e-Yazdaaṅ ki zain hai
Rab-e-Hasan hai Fatima Rab-e-Husain hai
Ye ain-e-haq hai is ka adu ain ghain hai
Sun kar Khuda ke din ki chikh o pukaar ko
Paala hai is ne sabr ke parwardigaar ko
3
Mazmun do jahaaṅ haiṅ unwaan Fatima
Muhsin Khuda ki zaat hai ehsaan Fatima
Quraan ko parhaati haiṅ Quraan Fatima
Mushkil Ali ki karti haiṅ aasaan Fatima
Qaul-e-Nabi hai Umm-e-Abiha Batul haiṅ
Allah ke Rasul ki Zahra Rasul haiṅ
4
Roshan hai itna Syeda-e-paak ka makaaṅ
Baatil pe is ka nur giraata hai bijliyaaṅ
Phaila hua hai nur-e-wila ka hasiṅ samaaṅ
Jhuk jhuk ke is ko dekhta rehta hai aasmaaṅ
Arsh-e-bariṅ adab se qadam bos ho gaya
Suraj bhi aa gaya to ujaaloṅ meiṅ kho gaya
5
Sidra se bhi azim hai Khair-un-Nisa ka ghar
Karti haiṅ saari manzileṅ is ke liye safar
Achchhi tarah se Hazrat-e-Jibril ko khabar
Puchhe baghair aayeṅ to jal jaayeṅ un ke par
Paabandi sab ko karni hai is ke usul ki
Aate nahiṅ baghair ijaazat Rasul bhi
6
Is ghar meiṅ Fatima haiṅ Ali haiṅ Hasan Husain
Aabaad haiṅ yahaaṅ pe zamaane ke Syedain
Makhdum in ka ghar hai do aalam haiṅ khaadimin
Milta hai is ko dekh ke Allah ko bhi chain
Jalwoṅ se is ke saara jahaaṅ jagmagaayega
Is ghar se jo jalega jahannam meiṅ jaayega
7
Aain do jahaaṅ ka banaati haiṅ Fatima
Jhula mashiyyatoṅ ko jhulaati haiṅ Fatima
Nabiyoṅ ko un ke kaam bataati haiṅ Fatima
Allah ka nizaam chalaati haiṅ Fatima
Is shaan se qiyaam hai arz-e-yaqiṅ par
Jab chaaheṅ aasmaaṅ bichha deṅ zamiṅ par
8
Jalwe ajab dikhaati haiṅ Khair-un-Nisa ki zaat
Tasbih ek haath meiṅ chakki pe ek haath
Kaunain ghumte haiṅ ishaaroṅ ke saath saath
In ki kaniz roz-e-azal se hai kaainaat
Kis ki majaal hai ke koi baat taal de
Ye jis ko chaahe kaun o makaaṅ se nikaal de
9
Mansub wo hadis-e-kisa hai janaab se
Aajiz hai kufr aaj bhi jis ke jawaab se
Roshan dil o dimaagh haiṅ jis aaftaab se
Ham ne yahi suna hai Risaalat maab se
Ilm o hunar ka mor hadis-e-kisa meiṅ hai
Quraan ka nichor hadis-e-kisa meiṅ hai
10
Gohar ye bazm-e-malka-e-yaum-e-alast hai
Imaan ki ghiza ka bara bandobast hai
Har shakhs aaj ishq ki masti meiṅ mast hai
Zahra ke dushmanoṅ ki mukammal shikast hai
Mehfil qalandaraana sada hai jo saj gai
Lafzoṅ ne wo dhamaal kiya dhum mach gai