سن لیں وہ جن کے لیے عشقِ علی بار ہے
Sun Leiṅ Woh Jin Ke Liye Ishq-e-Ali Baar Hai
Show
سن لیں وہ جن کے لیے عشقِ علی بار ہے
۱
سن لیں وہ جن کے لیے عشقِ علی بار ہے
آج بھی پردے میں اک حیدرِ کرار ہے
۲
اس کو ہے سب کی خبر رکھتا ہے سب پر نظر
کون ہے غدار اور کون وفادار ہے
۳
قائلِ شیطان تو ہے قائلِ غیبت نہیں
ہائے مسلمان بھی کتنا سمجھدار ہے
۴
لگتا ہے تیغِ علی گزری ہے یاں سے ابھی
رن میں جو چاروں طرف لاشوں کا انبار ہے
۵
لاکھ دوائیں کریں ٹھیک نہ گا کبھی
آلِ محمد کے جو بغض میں بیمار ہے
۶
منکرِ اشکِ عزا سوچ لے اتنا ذرا
غیب میں بیٹھا ہے جو وہ بھی عزادار ہے
Sun Leiṅ Woh Jin Ke Liye Ishq-e-Ali Baar Hai
1
Sun leiṅ woh jin ke liye ishq-e-Ali baar hai
Aaj bhi parde meiṅ ik Haider-e-Karrar hai
2
Us ko hai sab ki khabar rakhta hai sab par nazar
Kaun hai ghaddar aur kaun wafaadaar hai
3
Qaail-e-Shaitaan tu hai qaail-e-ghaibat nahiṅ
Haaye Musalmaan bhi kitna samajhdaar hai
4
Lagta hai tegh-e-Ali guzri hai yaaṅ se abhi
Ran meiṅ jo chaaroṅ taraf laashoṅ ka ambaar hai
5
Laakh dawaaeiṅ kareiṅ thik na ga kabhi
Aal-e-Muhammad ke jo bughz meiṅ bimaar hai
6
Munkir-e-ashk-e-aza soch le itna zara
Ghaib meiṅ baitha hai jo woh bhi azaadaar hai