لکھا ہے یا حسین محرم کے چاند پر
Sultane Karbala Ke
Show
لکھا ہے یا حسین محرم کے چاند پر
لکھا ہے یا حسین محرم کے چاند پر
زہرا بھی آ گئیں ہیں بقیعہ کو چھوڑ کر
ٹوٹے ہوئے دلوں کا سہارا ہے جس کا در
آجاؤ اس حسین کی جانب کریں سفر
جو کبریا کی شان محمد کی جان ہے
ہاں اپنے زائروں کا جو خود میزبان ہے
یا حسین یا حسین یا حسین
دم بدم قدم قدم ہے دل میں عشقِ کربلا
حسینا حسینا
زائروں کے قافلوں سے آ رہی ہے یہ صدا
حسینا حسینا
چلے چلو بڑھے چلو حسین کی صدا سنو
حسین تمکو بلا رہے ہیں ہے سامنے کربلا
اکبر کے ساتھ غازی خود لینے جا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۱
پرچم کے سائے میں ہے عباس کی سواری
مہماں نوازیوں کی تیاریاں ہیں جاری
شبیر کا حرم ہے ہلچل ہے خادموں میں
گنبد پہ شاہِ دیں کے پرچم لگا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۲
جو بےکفن ہے اُسکا دربار سج رہا ہے
وہ ہو رہا ہے جو بھی عباس نے کہا ہے
ہیں سرخ روشنی میں کالے لباس والے
رو روکے فرش ماتم خادم بچھا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۳
رو رو کے کہہ رہے ہیں افسوس ہے یہ بیبی
اے کاش ہم جو ہوتے عاشور والے دن بھی
نو لاکھ ظالموں میں تنہا نہ ہوتے مولا
لبیک کہہ رہے ہیں اور روتے جا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۴
نورانی چہرے والے گالوں پہ خاک مل کر
زوار آ رہے ہیں پیدل نجف سے چل کر
اس عشق کے سفر میں ہر شخص میزباں ہے
کچھ لوگ راستے سے پتھر ہٹا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۵
ان پر سلام ہو جو بیساکھیوں پہ آئے
پاؤں کے بل نہیں تھے پھر بھی نہ لڑکھڑائے
ملتی نہیں سبھی کو یہ عشق کی بلندی
بس یا حسین کہہ کر وہ چلتے جا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۶
تھامے ہوئے تبرک راہوں میں جو کھڑے ہیں
قاسم کا نام لیکر تقسیم کر رہے ہیں
دونوں جہاں میں ایسا جذبہ کہیں نہ دیکھا
جو سال بھر کمایا وہ سب لٹا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۷
یہ وہ زمیں ہے جس پر پیاسی رہیں سکینہ
غازی کو یاد کرکے روتی رہیں سکینہ
اب اس زمیں پہ کوئی پیاسہ نہیں ہے دیکھو
پیاسوں کو مشک والے پانی پلا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۸
ذیشان اور رضا جب مولا کے پاس جانا
حُر کی قسم ہے تمکو تبدیل ہوکے آنا
اے زائرین مولا ہے اصل یہ زیارت
اُنکی ہے میزبانی جو حُر بنا رہے ہیں
سلطانِ کربلا کے مہمان آ رہے ہیں
۹
تم اپنے دل میں زیارت کی آرزو رکھنا
پھر ان کا کام ہے جذبے کی آبرو رکھنا
Sultane Karbala Ke
Likha hai ya Husain Muharram ke chaand par
Zahra bhi aa gaiṅ haiṅ Baqia ko chhor kar
Tute hue diloṅ ka sahaara hai jis ka dar
Aa jaao us Husain ki jaanib kareṅ safar
Jo kibriya ki shaan Muhammad ki jaan hai
Haaṅ apne zaairoṅ ka jo khud mezbaan hai
Ya Husain ya Husain ya Husain
Dam badam qadam qadam hai dil meiṅ ishq-e-Karbala
Husaina Husaina
Zaairoṅ ke qaafiloṅ se aa rahi hai ye sada
Husaina Husaina
Chale chalo barhe chalo Husain ki sada suno
Husain tumko bula rahe haiṅ hai saamne Karbala
Akbar ke saath Ghazi khud lene jaa rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
1
Parcham ke saaye meiṅ hai Abbas ki sawaari
Mehmaaṅ nawaaziyoṅ ki taiyaariyaaṅ haiṅ jaari
Shabbir ka haram hai halchal hai khaadimoṅ meiṅ
Gumbad pe shaah-e-diṅ ke parcham laga rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
2
Jo bekafan hai uska darbaar saj raha hai
Wo ho raha hai jo bhi Abbas ne kaha hai
Haiṅ surkh roshni meiṅ kaale libaas waale
Ro ro ke farsh-e-maatam khaadim bichha rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
3
Ro ro ke keh rahe haiṅ afsos hai ye Bibi
Ae kaash hum jo hote Aashur waale din bhi
Nau laakh zaalimoṅ meiṅ tanha na hote Maula
Labbaik keh rahe haiṅ aur rote jaa rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
4
Nuraani chehre waale gaaloṅ pe khaak mal kar
Zuwwaar aa rahe haiṅ paidal Najaf se chal kar
Is ishq ke safar meiṅ har shakhs mezbaaṅ hai
Kuchh log raaste se patthar hata rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
5
Un par salaam ho jo baisaakhiyoṅ pe aaye
Paaoṅ ke bal nahiṅ the phir bhi na larkharaaye
Milti nahiṅ sabhi ko ye ishq ki bulandi
Bas ya Husain keh kar wo chalte jaa rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
6
Thaame hue tabarruk raahoṅ meiṅ jo khare haiṅ
Qasim ka naam lekar taqsim kar rahe haiṅ
Donoṅ jahaaṅ meiṅ aisa jazba kahiṅ na dekha
Jo saal bhar kamaaya wo sab luta rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
7
Ye wo zamiṅ hai jis par pyaasi rahiṅ Sakina
Ghazi ko yaad kar ke roti rahiṅ Sakina
Ab is zamiṅ pe koi pyaasa nahiṅ hai dekho
Pyaasoṅ ko mashk waale paani pila rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
8
Zishaan aur Raza jab Maula ke paas jaana
Hur ki qasam hai tumko tabdil hoke aana
Ae zaairin-e-Maula hai asl ye ziyaarat
Unki hai mezbaani jo Hur bana rahe haiṅ
Sultan-e-Karbala ke mehmaan aa rahe haiṅ
9
Tum apne dil meiṅ ziyaarat ki aarzu rakhna
Phir unka kaam hai jazbe ki aabru rakhna