ستم بابا کی امت کا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
Sitam Baba Ki
Show
ستم بابا کی امت کا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
ستم بابا کی امت کا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
وہ جلتا گھر کا دروازہ کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۱
نبی زادی کے بالوں کی سفیدی یہ بتاتی ہے
بھرے دربار میں جانا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۲
طمانچوں کے نشاں شبر نہ دیکھے اِس لئے اپنا
چھپانا لعل سے چہرہ کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۳
رَسن دیکھی گلے میں مرتضیٰ کے ہائے بیبی نے
علی پر ظلم اعدا کا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۴
تھیں اِن کی پسلیاں ٹوٹی ہوئیں اور زخمِ پہلُو تھا
مسلسل درد کا اٹھنا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۵
رَہیں جب تک بھی زندہ بس اُسی کو روتی رہتی تھیں
بچھڑنا اپنے محسن کا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۶
کُھلے تھے جس گھڑی بندِ کفن تو ماں کی میت سے
لپٹ کر لعل کا رونا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۷
چلے تھے تربتِ مادر سے شہ کرب و بلا جس دم
شہِ مظلوم کا جانا کبھی بُھولیں نہیں زہرا
۸
جسے اظہار بَن میں کر دیا پامال اعدا نے
وہ شہ کا بے کفن لاشہ کبھی بُھولیں نہیں زہرا
Sitam Baba Ki
Sitam baba ki ummat ka kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
Wo jalta ghar ka darwaaza kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
1
Nabi zaadi ke baaloṅ ki safedi ye bataati hai
Bhare darbaar meiṅ jaana kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
2
Tamaanchoṅ ke nishaaṅ Shabbar na dekhe is liye apna
Chhupaana laal se chehra kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
3
Rasan dekhi gale meiṅ Murtaza ke haaye Bibi ne
Ali par zulm aadaa ka kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
4
Thiṅ in ki pasliyaaṅ tuti huiṅ aur zakhm-e-pehlu tha
Musalsal dard ka uthna kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
5
Rahiṅ jab tak bhi zinda bas usi ko roti rehti thiṅ
Bichharna apne Mohsin ka kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
6
Khule the jis ghari band-e-kafan to maaṅ ki mayyat se
Lipat kar laal ka rona kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
7
Chale the turbat-e-maadar se Shah Karb o Bala jis dam
Shah-e-mazlum ka jaana kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra
8
Jise Izhaar ban meiṅ kar diya paamaal aadaa ne
Wo Shah ka bekafan laasha kabhi bhuliṅ nahiṅ Zahra