شیرِ خدا نے سجدے میں تلوار کھائی ہے
Shere Khuda Ne
Show
شیرِ خدا نے سجدے میں تلوار کھائی ہے
شیرِ خدا نے سجدے میں تلوار کھائی ہے
امت یتیم ہوگئی یا رب دہائی ہے
۱
جب سے سنی ہے نالۂ جبرئیل کی صدا
بے چین گھر میں فاطمہ زہرہ کی جائی ہے
۲
لرزاں ہے آسمان زمیں کو ہے زلزلہ
افراطِ غم سے قبرِ نبی تھرتھرائی ہے
۳
زخموں سے خون جاری ہے ہونٹوں سے ذکرِ رب
پوشاک ساری خون میں سر کی نہائی ہے
۴
فریاد کر رہی ہیں جنازے پہ بیٹیاں
روحِ جنابِ فاطمہ رونے کو آئی ہے
۵
اسلام کی نگاہ میں اندھیر ہے جہاں
ظالم نے شمعِ قبرِ پیمبر بجھائی ہے
۶
فریاد کر رہے ہیں جنازے پہ مصطفی
بیٹوں نے اپنے باپ کی میت اُٹھائی ہے
۷
یاور چلو جنازے کو کاندھوں پہ لے چلیں
شیعوں نے ایک شبیحۂ جنازہ بنائی ہے
Shere Khuda Ne
Sher-e-Khuda ne sajde meiṅ talwaar khaayi hai
Ummat yatim ho gayi ya Rab duhaayi hai
1
Jab se suni hai naala-e-Jibril ki sada
Bechain ghar meiṅ Fatima Zahra ki jaayi hai
2
Larzaaṅ hai aasmaan zamiṅ ko hai zalzala
Ifraat-e-gham se qabr-e-Nabi thartharaayi hai
3
Zakhmoṅ se khun jaari hai hoṅtoṅ se zikr-e-Rab
Poshaak saari khun meiṅ sar ki nahaayi hai
4
Fariyaad kar rahi haiṅ janaaze pe betiyaaṅ
Ruh-e-janaab-e-Fatima rone ko aayi hai
5
Islaam ki nigaah meiṅ andher hai jahaaṅ
Zaalim ne shama-e-qabr-e-Payambar bujhaayi hai
6
Fariyaad kar rahe haiṅ janaaze pe Mustafa
Betoṅ ne apne baap ki mayyat uthaayi hai
7
Yawar chalo janaaze ko kaandhoṅ pe le chaleṅ
Shioṅ ne ek shabiha-e-janaaza banaayi hai