Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ولی ابن ولی سقی ابن سقی

Sher-e-Babbar

Add to set
Show

ولی ابن ولی سقی ابن سقی

ولی ابن ولی سقی ابن سقی جری ابن شیر جلی ناد علی
۱ درہم برہم ہے لشکر سارا علم دیکھ کے سب نے پکارا قضا نہیں ہے جس کو گوارا وہ چھوڑ دے دریا کا کنارہ سر کربلا گونجی صدائیں قضا کی چھا رہی ہے گھٹائیں فرس کو جلدی سے بھگائیں چلو اپنی جانیں بچائیں بھاگ لو اب رن سے آج تو سر تن سے روح کا جیون سے یعنی رشتہ تن من دھن سے باقی نہ رہے گا خوں سب کا بہے گا کوئی نہ بچے گا گر کر دے حملہ عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربوبلا عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس قدم قدم پہ موت بچھا کے سروں سے سارا دشت سجا کے ستمگروں کو خاک چٹا کے بدل دیے ہے رنگ فضا کے وہ دیکھو دریا چھین لیا ہے عدو کے پہرہ ٹوٹ چکا ہے فضا میں نعرہ گونج رہا ہے علم جری نے گاڑ دیا ہے علقمہ کر دے گی فیصلہ اے فوج اشقیاء دریا تھا کل بھی میرا آج بھی میرا موجوں نے کہا ہے ساحل پر لکھا ہے وعدہ جو کیا ہے کر دے گا پورا عباس پانی پر عباس کا قبضہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے سن لے جہاں دریا یہ ہمارا کل بھی تھا اور آج بھی غازی کے پرچم کا پنجہ آج بھی سب سے کہتا ہے بیعت کے منہ پر یہ طمانچہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربوبلا عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس شباب مرتضیٰ عباس دعائے فاطمہ عباس علمدار حسین عباس حسن کے دل کے چین عباس ابا الفضل علی عباس ولی ابن ولی عباس دل ام البنین عباس حسینوں سے حسیں عباس بہادر اور نڈر اے شیر نر شہ کی سپر عباس وفا کی ابتداء اور انتہا حق کی صدا عباس قضا ہے تیرے سنگ عباس تیرا حملہ دبنگ عباس دلیروں کا دلیر عباس کرے دشمن کو ڈھیر عباس عباس عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربوبلا عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس
۲ ادھر ادھر سے لشکر آئے کہاں ہے ہمت آنکھ ملائے فرس جو ان پر بجلی گرائے گرے جو گر کر اٹھ نہیں پائے خطا ہوئے اوسان شقی کے جو دیکھے تیور شیر علی کے ہے یہ منظر قہر جلی کے قدم اکھڑے زمین سے سبھی کے میمنہ الٹا ہے میسرہ بکھرا ہے ہر جگہ دیکھا ہے شیرازی ساری فوجوں کا قاسم ہے نہ دلاور نہ حر سا دلاور کہتے ہے یہ سرور کافی ہے تنہا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربوبلا عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس درہم برہم ہے لشکر سارا یہ مشک و علم یہ جاہ و ہشم کہتے ہیں مجھے سقائے حرم مولا کی قسم توڑوں گا بھرم بھاگیں گے ابھی یہ اہلِ ستم وہ حشر بپا میں کر دوں گا لاشوں سے یہ مقتل بھر دوں گا گر مشک پہ وار کرو گے تم میں جینا مشکل کر دوں گا جو کہا غازی نے کر دیا حیدر کی ہے صدا تو نے تو نقشہ کھینچا ہے خیبر کا ہر سو ہے تباہی اے میرے سپاہی میں دوں گا گواہی اے میرے بیٹا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربلا عباس حیدر کربوبلا عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس یا ابن حیدر یا عباس یا شیر ببر عباس دریا پہ علم کو گاڑ دیا پیاسوں کے لئے مشکیزہ بھرا خیمے کے طرف غازی جو چلا غازی کو عدو نے گھیر لیا وہ تیر چلے وہ مشک چھدی بازو جو کٹے سنبھال نہ جری تھی گرز سے زخمی پیشانی مقتل میں تڑپتا تھا غازی ایک آنکھ میں اس کی تیر لگا خیموں میں ادھر فریاد یہ تھی واویلا واویلا واویلا العباس واویلا واویلا واویلا العباس واویلا واویلا واویلا العباس واویلا العباس خیموں میں علم آیا ہے علم بردار نہیں آیا اے مظہر اور فرحان سکینہ نے یہ فرمایا واویلا واویلا واویلا العباس واویلا واویلا واویلا العباس واویلا واویلا واویلا العباس

Sher-e-Babbar

Wali ibn-e-wali sakhi ibn-e-sakhi Jari ibn-e-jari sher-e-jali naad-e-Ali
1 Darham barham hai lashkar saara Alam dekh ke sab ne pukaara Qaza nahiṅ hai jis ko gawaara Wo chhor de darya ka kanaara Sar-e-Karbala gunji sadaaeṅ Qaza ki chhaa rahi hai ghataaeṅ Faras ko jaldi se bhagaaeṅ Chalo apni jaaneṅ bachaaeṅ Bhaag lo ab ran se aaj to sar tan se Ruh ka jivan se Yani rishta tan man dhan se Baaqi na rahega khuṅ sab ka bahega Koi na bachega gar kar de hamla Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karb o Bala Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Qadam qadam pe maut bichhaa ke Saroṅ se saara dasht saja ke Sitamgaroṅ ko khaak chata ke Badal diye hai rang faza ke Wo dekho darya chhin liya hai Adu ka pehra tut chuka hai Faza meiṅ naara gunj raha hai Alam jari ne gaar diya hai Alqama kar degi faisla Ae fauj-e-ashqiya Darya tha kal bhi mera aaj bhi mera Maujoṅ ne kaha hai saahil par likha hai Waada jo kiya hai kar dega pura Abbas Paani par Abbas ka qabza Kal bhi tha aur aaj bhi hai Sun le jahaaṅ darya ye hamaara Kal bhi tha aur aaj bhi Ghazi ke parcham ka panja Aaj bhi sab se kehta hai Baiat ke munh par ye tamaancha Kal bhi tha aur aaj bhi hai Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karb o Bala Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Shabaab-e-Murtaza Abbas Dua-e-Faatima Abbas Alam daar-e-Husain Abbas Hasan ke dil ke chain Abbas Abal Fazl-e-Ali Abbas Wali ibn-e-wali Abbas Dil-e-Ummul Banin Abbas Hasinoṅ mein hasiṅ Abbas Bahaadur aur nidar Ae sher-e-nar Shah ki sipar Abbas Wafa ki ibtida aur intiha Haq ki sada Abbas Qaza hai tere sang Abbas Tera hamla dabang Abbas Dileroṅ ka diler Abbas Kare dushman ko dher Abbas Abbas Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karb o Bala Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas
2 Idhar udhar se lashkar aaye Kahaaṅ hai himmat aankh milaae Faras jo un par bijli giraae Gire jo gir kar uth nahiṅ paaye Khata hue ausaan shaqi ke Jo dekhe tewar Sher-e-Ali ke Hai ye manzar qahr-e-jali ke Qadam ukhre zamin se sabhi ke Maimana ulta hai Maisara bikhra hai Har jagah dekha hai Shiraaza saari faujoṅ ka Qasim hai na Akbar Na Hur sa dilaawar Kehte hai ye Sarwar Kaafi hai tanha Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karb o Bala Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Darham barham hai lashkar saara Ye mashk o alam ye jaah o hasham Kehte haiṅ mujhe saqqa-e-haram Maula ki qasam toruṅ ga bharam Bhaageṅ ge abhi ye ahl-e-sitam Wo hashr bapa maiṅ kar duṅ ga Laashoṅ se ye maqtal bhar duṅ ga Gar mashk pe waar karoge tum Maiṅ jina mushkil kar duṅ ga Jo kaha Ghazi ne kar diya Haidar ki hai sada tu ne to Naqsha khaincha hai Khaibar ka Har su hai tabaahi Ae mere sipaahi Maiṅ duṅ ga gawaahi Ae mere beta Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karbala Abbas Haidar-e-Karb o Bala Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Ya ibn-e-Haidar ya Abbas Ya sher-e-babbar Abbas Darya pe alam ko gaar diya Pyaasoṅ ke liye mashkiza bhara Khaime ki taraf Ghazi jo chala Ghazi ko adu ne gher liya Wo tir chale wo mashk chhidi Baazu jo kate sambhla na jari Thi gurz se zakhmi peshaani Maqtal meiṅ tarapta tha Ghazi Ek aankh meiṅ us ki tir laga Khaimoṅ meiṅ idhar faryaad ye thi Waawaila waawaila waawaila al Abbas Waawaila waawaila waawaila al Abbas Waawaila al Abbas waawaila al Abbas Waawaila al Abbas Khaimoṅ meiṅ alam aaya hai alam bardaar nahiṅ aaya Ae Mazhar aur Farhan Sakina ne ye farmaaya Waawaila waawaila waawaila al Abbas Waawaila waawaila waawaila al Abbas Waawaila al Abbas waawaila al Abbas