Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اے شام غریباں

Ae Shaam-e-Gharibaṅ

Add to set
Show

اے شام غریباں

اے شام غریباں ہر خیمے سے اٹھتا ہے دھواں شام غریباں اب اہل حرم جائے کہاں
۱ جس سمت نظر جائے وہاں لاش ہے بے سر عباس علمدار کہیں قاسم و اکبر مارے گئے سب پیر و جواں شام غریباں
۲ سینہ میرے بابا کا نہیں سوؤں کہاں پر زخمی ہے میرے کان لہو سے ہے قبا تر ہے بالی سکینہ کی فغاں شام غریباں
۳ پہرے پہ علمدار نہیں بنت علی ہے اب کوئی مددگار نہیں بنت علی ہے ہے ناد علی ورد زباں شام غریباں
۴ خیمے بھی جلے اور ردا سر پہ نہیں ہے اجڑے ہوئے سادات ہے اور گرم زمیں ہے پیاسے ہے سبھی نوحہ کناں شام غریباں
۵ کب جلنے لگا آگ میں سجاد کا بستر بیمار کو شعلوں سے بہن لائی بچا کر ہے حلق بریدہ کی فغاں شام غریباں
۶ بھائی کو بہن روئے کہیں بیٹوں کو مادر کہتی ہے کوئی بی‌بی کے ہائے ہائے میری چادر کیسا ہے قیامت کا سماں شام غریباں
۷ کیا درد کا منظر تھا بیاں کیسے ہو صفدر خوں رویا ہے لکھتے ہوئے ہر بات کو مظہر کیوں بھولے نہیں اہل جہاں شام غریباں

Ae Shaam-e-Gharibaṅ

Ae shaam-e-gharibaṅ Har khaime se uthta hai dhuaaṅ shaam-e-gharibaṅ Ab ahl-e-haram jaaye kahaaṅ shaam-e-gharibaṅ
1 Jis samt nazar jaaye wahaaṅ laashe hai besar Abbas-e-alamdaar kahiṅ Qasim o Akbar Maare gaye sab pir o jawaaṅ shaam-e-gharibaṅ
2 Sina mere baba ka nahiṅ souṅ kahaaṅ par Zakhmi hai mere kaan lahu se hai qaba tar Hai baali Sakina ki fughaaṅ shaam-e-gharibaṅ
3 Pehre pe alamdaar nahiṅ bint-e-Ali hai Ab koi madadgaar nahiṅ bint-e-Ali hai Hai Naad-e-Ali wird-e-zabaaṅ shaam-e-gharibaṅ
4 Khaime bhi jale aur rida sar pe nahiṅ hai Ujre hue saadaat hai aur garm zamiṅ hai Pyaase hai sabhi nauha kunaṅ shaam-e-gharibaṅ
5 Kab jalne laga aag meiṅ Sajjad ka bistar Bimaar ko sholoṅ se behan laai bacha kar Hai halq-e-burida ki fughaaṅ shaam-e-gharibaṅ
6 Bhai ko behan roye kahiṅ betoṅ ko maadar Kehti hai koi Bibi ke haaye haaye meri chaadar Kaisa hai qayaamat ka samaaṅ shaam-e-gharibaṅ
7 Kya dard ka manzar tha bayaaṅ kaise ho Safdar Khuṅ roya hai likhte hue har baat ko Mazhar Kiuṅ bhule nahiṅ ahl-e-jahaaṅ shaam-e-gharibaṅ