شہید کی جو موت ہے وہ قوم کی حیات ہے
Shahid Ki Jo Maut Hai Woh Qaum Ki Hayaat Hai
Show
شہید کی جو موت ہے وہ قوم کی حیات ہے
شہید کی جو موت ہے وہ قوم کی حیات ہے
۱
موت حیدر کے محبوں کے لیے جامِ بہار
نزع کا وقت نظر آتا ہے پھر شامِ بہار
ہم کفن کو بھی سمجھتے رہے احرامِ بہار
موت لاتی ہے ہمارے لیے پیغامِ بہار
اب نہ آئے گی خزاں ساتھ کتھ خبر لاتے ہیں
یہ بہار اس لیے آئی ہے علی آتے ہیں
۲
جب چلا قبر کی جانب تو کچھ اس طرح چلا
دل میں حیدر کی ولا منہ پہ ملے خاکِ شفا
ساتھ ماتم کے نشاں اور شہادت نامہ
جب ہوا قبر میں داخل تو یہ منظر دیکھا
مثلِ گلشن یہ تر و تازہ نظر آتی ہے
قبر تو کھل کا دروازہ نظر آتی ہے
۳
دی ندا غیب سے ہاتف نے کہ ہو اب ہوشیار
مرتضیٰ قبر میں آتے ہیں بصد عز و وقار
میری تربت میں عجب طرح کی آئی ہے بہار
کیا حسین موت ہے اس موت پہ سو زیست نثار
میرا مولا میری تربت میں چلا آیا ہے
اصل میں اب مجھے مرنے کا مزہ آیا ہے
۴
جب نکیرین میری قبر میں آئے دیکھا
قبرِ مداحِ علی قبر پہ ہے لکھا ہوا
قبر میں میرے سرہانے ہیں علی جلوہ نما
چوم کر تب میری تربت کو فرشتوں نے کہا
ہم نہیں کہتے جوابات بتا دو ہم کو
مدحِ حیدر میں کوئی شعر سنا دو ہم کو
۵
عشقِ حیدر میں جو موت آئے اطاعت بن جائے
عشقِ حیدر میں جو موت آئے سعادت بن جائے
عشقِ حیدر میں جو موت آئے عبادت بن جائے
عشقِ حیدر میں جو موت آئے شہادت بن جائے
عشق حیدر کا قضا سے نہیں ڈرنے دیتا
عشق حیدر کا بشر کو نہیں مرنے دیتا
۶
آ کے حیدر نے میری قبر کو بخشی ہے زین
جلوہ افروز یہاں پر ہیں حسن اور حسین
اے خاشا قبر میری بن گئی رشکِ دارین
کیا مودت کا صلہ پایا ہے ظلِ ثقلین
قبر سے میری عجب نور عیاں ہوتا ہے
میری تربت پہ تو جنت کا گماں ہوتا ہے
Shahid Ki Jo Maut Hai Woh Qaum Ki Hayaat Hai
Shahid ki jo maut hai woh qaum ki hayaat hai
1
Maut Haider ke muhibboṅ ke liye jaam-e-bahaar
Naza ka waqt nazar aata hai phir shaam-e-bahaar
Hum kafan ko bhi samajhte rahe ihraam-e-bahaar
Maut laati hai hamaare liye paighaam-e-bahaar
Ab na aaye gi khizaaṅ saath kath khabar laate haiṅ
Yeh bahaar is liye aayi hai Ali aate haiṅ
2
Jab chala qabr ki jaanib to kuchh is tarah chala
Dil meiṅ Haider ki wila munh pe male khaak-e-shifa
Saath maatam ke nishaaṅ aur shahaadat naama
Jab hua qabr meiṅ daakhil to yeh manzar dekha
Misl-e-gulshan yeh tar o taaza nazar aati hai
Qabr to khul ka darwaaza nazar aati hai
3
Di nida ghaib se haatif ne ke ho ab hoshiyaar
Murtaza qabr meiṅ aate haiṅ basad izz o waqaar
Meri turbat meiṅ ajab tarah ki aayi hai bahaar
Kya hasin maut hai is maut pe sau zist nisaar
Mera Maula meri turbat meiṅ chala aaya hai
Asl meiṅ ab mujhe marne ka maza aaya hai
4
Jab Nakirain meri qabr meiṅ aaye dekha
Qabr-e-maddaah-e-Ali qabr pe hai likha hua
Qabr meiṅ mere sirhaane haiṅ Ali jalwa numa
Chum kar tab meri turbat ko farishtoṅ ne kaha
Hum nahiṅ kehte jawaabaat bata do hum ko
Madh-e-Haider meiṅ koi sher suna do hum ko
5
Ishq-e-Haider meiṅ jo maut aaye itaat ban jaaye
Ishq-e-Haider meiṅ jo maut aaye saadat ban jaaye
Ishq-e-Haider meiṅ jo maut aaye ibaadat ban jaaye
Ishq-e-Haider meiṅ jo maut aaye shahaadat ban jaaye
Ishq Haider ka qaza se nahiṅ darne deta
Ishq Haider ka bashar ko nahiṅ marne deta
6
Aa ke Haider ne meri qabr ko bakhshi hai zain
Jalwa afroz yahaaṅ par haiṅ Hasan aur Husain
Ae khaasha qabr meri ban gayi rashk-e-daarain
Kya mawaddat ka sila paaya hai Zill-e-Saqlain
Qabr se meri ajab nur ayaaṅ hota hai
Meri turbat pe to jannat ka gumaaṅ hota hai