شاہ دین کو وہ دین کہتے ہیں
Shaah-e-Din Ko Woh Din Kehte Haiṅ
Show
شاہ دین کو وہ دین کہتے ہیں
پیر خواجہ معین کہتے ہیں
۱
وہ بھی یوم حسین ہی ہوگا
سب جسے یوم دین کہتے ہیں
۲
حے بھی الحمد کی کہیں شہ کو
اور یٰسین کا سین کہتے ہیں
۳
کربلا ہے بہشت عرش بریں
ہم اسے کب زمین کہتے ہیں
۴
جون کہتی ہے جس کو یہ دنیا
ہم اسے مہ جبیں کہتے ہیں
۵
دسترس جس کی ہل اتیٰ تک ہو
ہم اسی کو ذہین کہتے ہیں
۶
در جو کعبہ میں ہو تو اس کو ہم
احترام مکیں کہتے ہیں
۷
کاخ کربل شفا کا معدن ہے
بات یہ بالیقین کہتے ہیں
۸
ہم علی کو خدا نہیں کہتے
پر خدا سے قرین کہتے ہیں
۹
ہم خدائے حسین کو کاشف
کربلا کا مکیں کہتے ہیں
Shaah-e-Din Ko Woh Din Kehte Haiṅ
Pir Khwaaja Muin kehte haiṅ
1
Woh bhi yaum-e-Husain hi hoga
Sab jise yaum-e-din kehte haiṅ
2
He bhi Alhamd ki kaheṅ Shah ko
Aur Yasin ka sin kehte haiṅ
3
Karbala hai bahisht-e-arsh-e-bariṅ
Ham ise kab zamin kehte haiṅ
4
Jon kehti hai jis ko ye duniya
Ham use mahjabiṅ kehte haiṅ
5
Dastaras jis ki Hal Ataa tak ho
Ham usi ko zahin kehte haiṅ
6
Dar jo Kaaba meiṅ ho to us ko ham
Ehtiraam-e-makiṅ kehte haiṅ
7
Kaakh-e-Karbal shifa ka maadan hai
Baat ye bilyaqin kehte haiṅ
8
Ham Ali ko Khuda nahiṅ kehte
Par Khuda se qarin kehte haiṅ
9
Ham Khuda-e-Husain ko Kashif
Karbala ka makiṅ kehte haiṅ