شام کا بازار اے قافلہ سالار اے عابد بیمار
Shaam Jaana Yaad
Show
شام کا بازار اے قافلہ سالار اے عابد بیمار
شام کا بازار اے قافلہ سالار اے عابد بیمار
سید سجاد تیرا شام جانا یاد ہے
راہ میں اشکوں کے بدلے خوں بہانا یاد ہے
سید سجاد تیرا شام جانا یاد ہے
۱
وہ مقاتل کے مصائب کیسے لکھے گا قلم
کربلا سے شام پہنچے جس گھڑی اہلِ حرم
تیرا رونا شامیوں کا مسکرانا یاد ہے
۲
جو بھی جس کے دل میں آیا وہ ستم اس نے کیا
آگ برسائی کسی نے اور کسی نے یہ کہا
باغی قیدی تیری شاہی کا زمانہ یاد ہے
۳
قیدیوں کے آگے آگے خولی دیتا تھا صدا
گھر سجاؤ آ رہا ہے باغیوں کا قافلہ
یہ منادی سن کے تیرا سر جھکانا یاد ہے
۴
چند ساعتیں کا سفر تھا تیس گھنٹوں میں کیا
روح زخمی جسم زخمی اور دل محوِ بکا
اپنے بالوں سے حرم کا منہ چھپانا یاد ہے
۵
ابنِ مرجانا نے تجھ پر کی ستم کی انتہا
جب سکینہ کو کنیزی میں طلب اس نے کیا
اس گھڑی خطبہ وہ زینب کا سنانا یاد ہے
۶
ہو رہا تھا یوں تعارف بر سر دربار عام
قیدیوں میں کون وہ بیبی ہے زینب جس کا نام
اور حرم کا بیبی زینب کا چھپانا یاد ہے
۷
صفدر و مظہر یہ نوحہ ہے امام وقت کا
میرے مولا کے مصائب بن گئے ہیں ناحیہ
ان کے جملوں سے ابھی تک وہ زمانہ یاد ہے
Shaam Jaana Yaad
Shaam ka bazaar Ae qaafila saalaar Ae Aabid bimaar
Sayyid-e-Sajjad tera Shaam jaana yaad hai
Raah meiṅ ashkoṅ ke badle khuṅ bahaana yaad hai
Sayyid-e-Sajjad tera Shaam jaana yaad hai
1
Wo maqaatil ke masaaib kaise likhe ga qalam
Karbala se Shaam pahunche jis ghari ahl-e-haram
Tera rona Shaamiyoṅ ka muskuraana yaad hai
2
Jo bhi jis ke dil meiṅ aaya wo sitam us ne kiya
Aag barsaayi kisi ne aur kisi ne ye kaha
Baaghi qaidi teri shaahi ka zamaana yaad hai
3
Qaidiyoṅ ke aage aage Khuli deta tha sada
Ghar sajaao aa raha hai baaghiyoṅ ka qaafila
Ye munaadi sun ke tera sar jhukaana yaad hai
4
Chand saateiṅ ka safar tha tis ghantoṅ meiṅ kiya
Ruh zakhmi jism zakhmi aur dil mahw-e-buka
Apne baaloṅ se haram ka munh chhupaana yaad hai
5
Ibn-e-Marjaana ne tujh par ki sitam ki inteha
Jab Sakina ko kanizi meiṅ talab us ne kiya
Us ghari khutba wo Zainab ka sunaana yaad hai
6
Ho raha tha yuṅ taaruf bar sar-e-darbaar-e-aam
Qaidiyoṅ meiṅ kaun wo Bibi hai Zainab jis ka naam
Aur haram ka Bibi Zainab ka chhupaana yaad hai
7
Safdar o Mazhar ye nauha hai Imam-e-waqt ka
Mere Maula ke masaaib ban gaye haiṅ Naahiya
In ke jumloṅ se abhi tak wo zamaana yaad hai