سر زینب حزیں کا بازار میں کھلا ہے
Sar Zainab-e-Haziṅ
Show
سر زینب حزیں کا بازار میں کھلا ہے
سر زینب حزیں کا بازار میں کھلا ہے
اس غم سے سر جری کا نیزے سے گر رہا ہے
۱
جن بازوؤں کا بوسہ اکثر لیا علی نے
باندھی رسن انہیں میں بعد جری شقی نے
زہرا کی بیٹیوں پر غربت کی انتہا ہے
۲
نیزوں سے جب اتارا چادر کو ظالموں نے
بالوں سے منہ چھپایا زہرا کی بیٹیوں نے
جو بانیِ ردا تھی وہ آج بے ردا ہے
۳
اٹھارہ بھائیوں کے حلقے میں تھی جو ہر پل
اور سائے میں علم کے رہتی تھی جو مسلسل
چلتی ہے ننگے پا وہ پرخار راستہ ہے
۴
اک وقت تھا کہ شاہی کوفے میں کر رہی تھی
اک وقت آج یہ ہے آئی ہے بن کے قیدی
پہچان لے نہ کوئی یہ بنت مرتظی ہے
۵
سجاد محوِ غم ہے لاچار ہے حزیں ہے
سر پر جو بیبیوں کے دستار تک نہیں ہے
اس کرب میں وہ آنکھوں سے خوں بہا رہا ہے
۶
رخسار پہ بہن کے جس دم لگے طمانچے
رخ کر کے سوئے دریا عابد پکار اٹھے
آؤ مدد کو عمو ہم پر ستم سوا ہے
۷
چادر نہیں ہے سر پہ اس غم میں مر نہ جائے
چھوٹے ہیں اس کے گیسو کیسے وہ رخ چھپائے
ریتی سے اپنا چہرہ اس نے چھپا لیا ہے
۸
آصف تیرے قلم سے اب بھی ہے اشک جاری
زیشان بھی مسلسل کرتا ہے آہ و زاری
اس غم میں منتظر بھی پردے میں رو رہا ہے
Sar Zainab-e-Haziṅ
Sar Zainab-e-haziṅ ka baazaar meiṅ khula hai
Is gham se sar Jari ka naize se gir raha hai
1
Jin baazuoṅ ka bosa aksar liya Ali ne
Baandhi rasan unhiṅ meiṅ baad Jari shaqi ne
Zehra ki betiyoṅ par ghurbat ki inteha hai
2
Naizoṅ se jab utaara chaadar ko zaalimoṅ ne
Baaloṅ se muṅh chhupaaya Zahra ki betiyoṅ ne
Jo baani-e-rida thi wo aaj berida hai
3
Athaara bhaaiyoṅ ke halqe meiṅ thi jo har pal
Aur saaye meiṅ alam ke rahti thi jo musalsal
Chalti hai nange pa wo purkhaar raasta hai
4
Ik waqt tha ke shaahi Kufe meiṅ kar rahi thi
Ik waqt aaj ye hai aayi hai ban ke qaidi
Pahchaan le na koi ye bint-e-Murtaza hai
5
Sajjad mahw-e-gham hai laachaar hai haziṅ hai
Sar par jo Bibiyoṅ ke dastaar tak nahiṅ hai
Is karb meiṅ wo aaṅkhoṅ se khuṅ baha raha hai
6
Rukhsaar pe bahan ke jis dam lage tamaanche
Rukh kar ke su-e-darya Aabid pukaar uthe
Aao madad ko ammu ham par sitam siwa hai
7
Chaadar nahiṅ hai sar pe is gham meiṅ mar na jaaye
Chhote haiṅ us ke gesu kaise wo rukh chhupaaye
Reti se apna chehra us ne chhupa liya hai
8
Aasif tere qalam se ab bhi hai ashk jaari
Zishan bhi musalsal karta hai aah o zaari
Is gham meiṅ Muntazar bhi parde meiṅ ro raha hai