سر علی کا سجدۂ خالق میں ضربت کے لیے
Sar Ali Ka Sajda-e-Khaaliq Mein Zarbat Ke Liye
Show
سر علی کا سجدۂ خالق میں ضربت کے لیے
سر علیؑ کا سجدۂ خالق میں ضربت کے لیے
حشر تک اک داغِ رُسوائی ہے اُمت کے لیے
۱
گھر لُٹایا جان تک دے دی ہدایت کے لیے
اور کیا کرتے گُنہگارانِ اُمت کے لیے
۲
حیدرِ کرارؑ سے ورثہ ملا اولاد کو
ہو گئی قسمت شہادت ہر امامت کے لیے
۳
گھر میں خالق کے امیرُالمومنینؑ کا قتل ہو
مسجدِ کوفہ بنی تھی اس قیامت کے لیے
Sar Ali Ka Sajda-e-Khaaliq Mein Zarbat Ke Liye
Sar Ali ka sajda-e-Khaaliq meiṅ zarbat ke liye
Hashr tak ik daagh-e-ruswaai hai ummat ke liye
1
Ghar lutaaya jaan tak de di hidaayat ke liye
Aur kya karte gunahgaaraan-e-ummat ke liye
2
Haidar-e-Karraar se wirsa mila aulaad ko
Ho gayi qismat shahaadat har imaamat ke liye
3
Ghar meiṅ Khaaliq ke Amir-ul-Mominin ka qatl ho
Masjid-e-Kufa bani thi is qayaamat ke liye