ثنائے مرتضیٰ ہے اور میں ہوں
Sanae Murtaza Hai
Show
ثنائے مرتضیٰ ہے اور میں ہوں
ثنائے مرتضیٰ ہے اور میں ہوں
یہی اک مشغلہ ہے اور میں ہوں
۱
نبی کہتے تھے حیدر تمہارا
شناسا ایک خدا ہے اور میں ہوں
۲
فرشتوں قبر میں آہستہ بولو
یہاں مشکل کشا ہے اور میں ہوں
۳
صفِ دشمن سے حر نکلا یہ کہہ کر
بس اب راہِ خدا ہے اور میں ہوں
۴
خبر دیتا ہے رن میں حسنِ اکبر
صدا نورِ خدا ہے اور میں ہوں
۵
وطن میں حالِ صغرا جس نے پوچھا
کہا آہ و بکا ہے اور میں ہوں
۶
سفر میں آ گئی شامِ غریباں
لعینوں کی جفا ہے اور میں ہوں
۷
تمنا دولت و حشمت کی بے جاں
دبیر آخر فنا ہے اور میں ہوں
Sanae Murtaza Hai
Sanaa-e-Murtaza hai aur maiṅ huṅ
Yehi ik mashghala hai aur maiṅ huṅ
1
Nabi kehte the Haidar tumhaara
Shanaasa ek Khuda hai aur maiṅ huṅ
2
Farishtoṅ qabr meiṅ aahista bolo
Yahaaṅ mushkil kusha hai aur maiṅ huṅ
3
Saf-e-dushman se Hur nikla ye keh kar
Bas ab raah-e-Khuda hai aur maiṅ huṅ
4
Khabar deta hai ran meiṅ husn-e-Akbar
Sadaa nur-e-Khuda hai aur maiṅ huṅ
5
Watan meiṅ haal-e-Sughra jis ne puchha
Kaha aah o buka hai aur maiṅ huṅ
6
Safar meiṅ aa gai Shaam-e-gharibaaṅ
Lainoṅ ki jafa hai aur maiṅ huṅ
7
Tamanna daulat o hashmat ki bejaaṅ
Dabir aakhir fana hai aur maiṅ huṅ