Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سکینہ کی یہ صدا ہے چچا نہیں آئے

Sakina Ki Ye Sada

Add to set
Show

سکینہ کی یہ صدا ہے چچا نہیں آئے

سکینہ کی یہ صدا ہے چچا نہیں آئے اندھیرا بڑھنے لگا ہے چچا نہیں آئے
۱ علم فرات سے بابا کے ہاتھ بھیج دیا مگر یہ ماجرا کیا ہے چچا نہیں آئے
۲ پڑے ہیں پیاس کی شدت سے حلق میں کانٹے مگر لبوں پہ صدا ہے چچا نہیں آئے
۳ اسی لئے تو ستم اور بڑھ گئے ہم پر یزیدیوں کو پتہ ہے چچا نہیں آئے
۴ تمام زخم سکینہ کے دل پر تازہ ہے یہ زخم سب سے ہرا ہے چچا نہیں آئے
۵ ردائیں چھن گئیں خیمے جلائے جاتے ہیں حرم پہ وقت پڑا ہے چچا نہیں آئے
۶ گرے ہیں خاک پہ جو انتظار کے آنسو ان آنسوؤں نے لکھا ہے چچا نہیں آئے
۷ نہ جانے کون سی ایسی خطا ہوئی مجھ سے اکیلا چھوڑ دیا ہے چچا نہیں آئے
۸ کیا سکینہ سے جو بھی سوال عصر کے بعد یہی جواب دیا ہے چچا نہیں آئے
۹ کہاں یہ شام کا زنداں کہاں وہ کربوبلا یہاں بھی دھیان لگا ہے چچا نہیں آئے
۱۰ سرور آ گئے آنکھوں میں خون کے آنسو یہ نوحہ جب بھی سنا ہے چچا نہیں آئے

Sakina Ki Ye Sada

Sakina ki ye sada hai chacha nahiṅ aaye Andhera barhne laga hai chacha nahiṅ aaye
1 Alam Furaat se baaba ke haath bhej diya Magar ye maajra kya hai chacha nahiṅ aaye
2 Pare haiṅ pyaas ki shiddat se halq meiṅ kaaṅte Magar laboṅ pe sada hai chacha nahiṅ aaye
3 Isi liye to sitam aur barh gaye hum par Yazidiyoṅ ko pata hai chacha nahiṅ aaye
4 Tamaam zakhm Sakina ke dil par taaza hai Ye zakhm sab se hara hai chacha nahiṅ aaye
5 Ridaaeṅ chhin gayiṅ khaime jalaaye jaate haiṅ Haram pe waqt para hai chacha nahiṅ aaye
6 Gire haiṅ khaak pe jo intezaar ke aaṅsu Un aaṅsuoṅ ne likha hai chacha nahiṅ aaye
7 Na jaane kaun si aisi khata hui mujh se Akela chhor diya hai chacha nahiṅ aaye
8 Kiya Sakina se jo bhi sawaal asr ke baad Yahi jawaab diya hai chacha nahiṅ aaye
9 Kahaaṅ ye Shaam ka zindaaṅ kahaaṅ wo Karbobala Yahaaṅ bhi dhyaan laga hai chacha nahiṅ aaye
10 Surur aa gaye aaṅkhoṅ meiṅ khun ke aaṅsu Ye nauha jab bhi suna hai chacha nahiṅ aaye