Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سرِ بازار زینب کا گزر سجاد روتا ہے

Sajjad Rota Hai

Add to set
Show

سرِ بازار زینب کا گزر سجاد روتا ہے

سرِ بازار زینب کا گزر سجاد روتا ہے پھٹا جاتا ہے صدمے سے جگر سجاد روتا ہے
۱ ستمگر لے گئے جب شام اور کوفے کی گلیوں سے اسیروں پر رہی سب کی نظر سجاد روتا ہے
۲ وہ شدت دھوپ کی جلتی زمیں اور پائوں میں چھالے ستم ہے بے کسوں پر اس قدر سجاد روتا ہے
۳ کبھی سورج نے دیکھا ہی نہیں تھا جس کے چہرے کو وہ شہزادی کا بے پردہ سفر سجاد روتا ہے
۴ سکینہ کہتی تھی بھیا گھُٹا جاتا ہے دم میرا تڑپتی ہے وہ غم سے بے پدر سجاد روتا ہے
۵ رسن بستہ پھوپھی ہے اور گلا میرا ہے رسی میں کوئی آ کر ہماری لے خبر سجاد روتا ہے
۶ کسی صورت نہ ٹکتا تھا سرِ عباس نیزے پر یہی حالت تھی بس شام و سحر سجاد روتا ہے
۷ غضب ہے سات سو کُرسی نشیں دربار ظالم کا کے جس میں آلِ احمد ننگے سر سجاد روتا ہے
۸ بابر جب مجلسِ شبیر ہوتی ہے کسی گھر میں کوئی روئے یا نہ روئے مگر سجاد روتا ہے

Sajjad Rota Hai

Sar-e-baazaar Zainab ka guzar Sajjad rota hai Phata jaata hai sadme se jigar Sajjad rota hai
1 Sitamgar le gaye jab Shaam aur Kufe ki galiyoṅ se Asiroṅ par rahi sab ki nazar Sajjad rota hai
2 Wo shiddat dhup ki jalti zamiṅ aur paaoṅ meiṅ chhaale Sitam hai bekasoṅ par is qadar Sajjad rota hai
3 Kabhi suraj ne dekha hi nahiṅ tha jis ke chehre ko Wo shahzaadi ka beparda safar Sajjad rota hai
4 Sakina kehti thi bhaiya ghuta jaata hai dam mera Tarapti hai wo gham se bepidar Sajjad rota hai
5 Rasan basta phuphi hai aur gala mera hai rassi meiṅ Koi aa kar hamaari le khabar Sajjad rota hai
6 Kisi surat na tikta tha sar-e-Abbas naize par Yehi haalat thi bas shaam o sehar Sajjad rota hai
7 Ghazab hai saat sau kursi nashiṅ darbaar zaalim ka Ke jis meiṅ Aal-e-Ahmad nange sar Sajjad rota hai
8 Baabar jab majlis-e-Shabbir hoti hai kisi ghar meiṅ Koi roye ya na roye magar Sajjad rota hai