Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سجاد کا بیٹا شہزادہ باقر

Sajjad Ka Beta

Add to set
Show

سجاد کا بیٹا شہزادہ باقر

سجاد کا بیٹا شہزادہ باقر جب آیا مدینے سوتا ہی نہیں تھا بس روتا تھا اک شب فضہ نے آ کے کہا شہزادے کیوں سوتے نہیں ہو میرے آقا زادے مولا باقر نے رو کے کہا اماں
۱ دیکھا ہے ان آنکھوں نے دادا کے کٹے سر کو نہ بھولوں گا میں وہ کرب و بلا پڑھوں گا صدا یہی مرثیہ ہاں میں روؤں گا
۲ دیکھا ہے ان آنکھوں نے جب کرب و بلا پہنچے دریا پہ لگے خیمے دریا سے ہٹے خیمے نہ بھولوں گا میں وہ طفل و جواں تھے تشنہ دہن لبِ علقمہ ہاں میں روؤں گا
۳ دیکھا ہے ان آنکھوں نے عاشور کا وہ منظر لاشے ہی بیابان سے شہ لاتے رہے دن بھر نہ بھولوں گا میں وہ رنج و الم سرِ دشتِ غم ہوئے سر قلم ہاں میں روؤں گا
۴ دیکھا ہے ان آنکھوں نے نیزوں پہ شہیدوں کو اور شامِ غریباں میں جلتے ہوئے خیموں کو نہ بھولوں گا میں چھنی چادریں جلدی مسندیں میرے سامنے ہاں میں روؤں گا
۵ دیکھا ہے ان آنکھوں نے کونین کی شہزادی جس وقت بنی قیدی غازی کو بلاتی تھی نہ بھولوں گا میں حرم کا سفر چلے ننگے سر رسن پہن کر ہاں میں روؤں گا
۶ دیکھا ہے ان آنکھوں نے کانٹوں پہ سفر کرنا ان شام کے گلیوں میں اک قیدی کا خون رونا نہ بھولوں گا میں سجے بام و دَر ہر ایک گام پر وہ نیزوں پہ سر ہاں میں روؤں گا
۷ دیکھا ہے ان آنکھوں نے اس وقت اسیری میں شبیر کی دختر کو جب مانگا کنیزی میں نہ بھولوں گا میں حرم رو دیے سبھی درد سے تڑپنے لگے ہاں میں روؤں گا
۸ دیکھا ہے ان آنکھوں نے زندان کا وہ منظر لاشہ تھا سکینہ کا بیمار کے ہاتھوں پر نہ بھولوں گا میں پھپھی کی قضا کفن بن گیا وہ کرتہ جلا ہاں میں روؤں گا
۹ دیکھا ہے ان آنکھوں نے زندان سے رہا ہو کے وہ اجڑے ہوئے قیدی جب کرب و بلا پہنچے نہ بھولوں گا میں کہ دادی میری یہ کہنے لگی بہن آ گئی ہاں میں روؤں گا
۱۰ دیکھا ہے ان آنکھوں نے عرفانِ عزا بن کر دیکھو میرے چہرے کو ہر غم کا ہے یہ مظہر نہ بھولوں گا میں کبھی کربلا وہ قیدِ جفا دیارِ سزا ہاں میں روؤں گا

Sajjad Ka Beta

Sajjad ka beta shahzaada Baaqir Jab aaya Madine sota hi nahiṅ tha Bas rota tha Ek shab Fizza ne aa ke kaha shahzaade Kiuṅ sote nahiṅ ho mere aaqa zaade Maula Baaqir ne ro ke kaha ammaṅ
1 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Daada ke kate sar ko Na bhuluṅ ga maiṅ wo Karb o Bala Parhuṅ ga sada yahi marsiya Haaṅ maiṅ rouṅ ga
2 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Jab Karb o Bala pahuṅche Darya pe lage khaime Darya se hate khaime Na bhuluṅ ga maiṅ wo tifl o jawaaṅ The tashna dahan lab-e-Alqama Haaṅ maiṅ rouṅ ga
3 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Aashur ka wo manzar Laashe hi bayaabaan se Shah laate rahe din bhar Na bhuluṅ ga maiṅ wo ranj o alam Sar-e-dasht-e-gham hue sar qalam Haaṅ maiṅ rouṅ ga
4 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Naizoṅ pe shahidoṅ ko Aur Shaam-e-Gharibaṅ meiṅ Jalte hue khaimoṅ ko Na bhuluṅ ga maiṅ chhini chaadareṅ Jali masnadeṅ mere saamne Haaṅ maiṅ rouṅ ga
5 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Kaunain ki shahzaadi Jis waqt bani qaidi Ghaazi ko bulaati thi Na bhuluṅ ga maiṅ haram ka safar Chale nange sar rasan pehen kar Haaṅ maiṅ rouṅ ga
6 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Kaaṅtoṅ pe safar karna In Shaam ke galiyoṅ meiṅ Ek qaidi ka khun rona Na bhuluṅ ga maiṅ saje baam o dar Har ek gaam par wo naizoṅ pe sar Haaṅ maiṅ rouṅ ga
7 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Us waqt asiri meiṅ Shabbir ki dukhtar ko Jab maaṅga kanizi meiṅ Na bhuluṅ ga maiṅ haram ro diye Sabhi dard se tarapne lage Haaṅ maiṅ rouṅ ga
8 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Zindaan ka wo manzar Laasha tha Sakina ka Bimaar ke haathoṅ par Na bhuluṅ ga maiṅ phuphi ki qaza Kafan ban gaya wo kurta jala Haaṅ maiṅ rouṅ ga
9 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Zindaan se riha ho ke Wo ujre hue qaidi Jab Karb o Bala pahuṅche Na bhuluṅ ga maiṅ ke daadi meri Ye kehne lagi behen aa gayi Haaṅ maiṅ rouṅ ga
10 Dekha hai in aaṅkhoṅ ne Irfaan-e-aza ban kar Dekho mere chehre ko Har gham ka hai ye Mazhar Na bhuluṅ ga maiṅ kabhi Karbala Wo qaid-e-jafa diyaar-e-saza Haaṅ maiṅ rouṅ ga