جگر کو تھام کے دونوں جہان روتے ہیں
Safar Jahan Se
Show
جگر کو تھام کے دونوں جہان روتے ہیں
جگر کو تھام کے دونوں جہان روتے ہیں
رسول زادی کے بچے یتیم ہوتے ہیں
سفر جہان سے مولائے کائنات کا ہے
نبی کی آل پہ یہ وقت مشکلات کا ہے
۱
لہو میں ڈوب کے ہم تو ہوئے ہیں سرفراز
حسن تمام کراؤ نمازیوں کی نماز
خیال کتنا امامت کو واجبات کا ہے
۲
قیامت اک بپا ہو رہی ہے مسجد میں
کہ مسجد علی رو رہی ہے مسجد میں
سحر تڑپتی ہے چہرہ نڈھال رات کا ہے
۳
یہ کیسا ہائے ستمگر نے ظلم ڈھایا ہے
اسی کا مسجد کوفہ میں خوں بہایا ہے
قدم قدم پہ محافظ وہ دینیات کا ہے
۴
یہ کہہ کے دیتے ہیں مولا پسر کے ہاتھ میں ہاتھ
نہ چھوڑنا کبھی عباس تم حسین کا ساتھ
یہ میرا لال اثاثہ نبی کی ذات کا ہے
۵
فلک ہلاتی ہے زینب کے شور و شین کی دھوم
تڑپ رہی ہے جنازے پہ باپ کے کلثوم
گلہ نصیب سے بے آسرا حیات کا ہے
۶
حسن حسین تڑپتے ہیں باپ کے غم میں
شریک حضرت عباس بھی ہے ماتم میں
ملال سب کو یتیمی کے حادثات کا ہے
۷
نکل رہا ہے نبی کے وزیر کا تابوت
کہ اٹھ رہا ہے جنابِ امیر کا تابوت
علی سوگ میں کوفہ تصورات کا ہے
۸
تڑپ رہے ہیں پیمبر بھی عامر و اختر
زمیں پہ چھائی ہوئی ہے اداسیاں گھر گھر
یہ دن محافظ اسم کی وفات کا ہے
Safar Jahan Se
Jigar ko thaam ke donoṅ jahaan rote haiṅ
Rasul zaadi ke bachche yatim hote haiṅ
Safar jahaan se Maula-e-kaainaat ka hai
Nabi ki aal pe ye waqt mushkilaat ka hai
1
Lahu meiṅ dub ke ham to hue haiṅ sarfaraaz
Hasan tamaam karaao namaaziyoṅ ki namaaz
Khayaal kitna imaamat ko waajibaat ka hai
2
Qayaamat ek bapa ho rahi hai masjid meiṅ
Ke jaanamaaz-e-Ali ro rahi hai masjid meiṅ
Sahar tarapti hai chehra nidhaal raat ka hai
3
Ye kaisa haaye sitamgar ne zulm dhaaya hai
Isi ka masjid-e-Kufa meiṅ khuṅ bahaaya hai
Qadam qadam pe muhaafiz wo diniyaat ka hai
4
Ye keh ke dete haiṅ Maula pisar ke haath meiṅ haath
Na chhorna kabhi Abbaas tum Husain ka saath
Ye mera laal asaasa Nabi ki zaat ka hai
5
Falak hilaati hai Zainab ke shor o shain ki dhum
Tarap rahi hai janaaze pe baap ke Kulsum
Gila nasib se beaasra hayaat ka hai
6
Hasan Husain tarapte haiṅ baap ke gham meiṅ
Sharik Hazrat-e-Abbaas bhi hai maatam meiṅ
Malaal sab ko yatimi ke haadisaat ka hai
7
Nikal raha hai Nabi ke wazir ka taabut
Ke uth raha hai Janaab-e-Amir ka taabut
Ali ke sog meiṅ Kufa tasawwuraat ka hai
8
Tarap rahe haiṅ Payambar bhi Aamir o Akhtar
Zamiṅ pe chhaai hui hai udaasiyaaṅ ghar ghar
Ye din muhaafiz-e-isam ki wafaat ka hai