زینب نے کہا تربت زہرا سے لپٹ کر
Sab Mar Gaye
Show
زینب نے کہا تربت زہرا سے لپٹ کر
زینب نے کہا تربت زہرا سے لپٹ کر
سب مر گئے اماں
تھا ناز مجھے جن پہ وہ اٹھارہ برادر
سب مر گئے اماں
۱
جتنے بھی مدینے سے میرے ساتھ گئے تھے
وہ ساتھ نہ آئے
یہ کیسے بتاؤں کہ کہاں زخم ہیں کھائے
سب خوں میں نہائے
وہ میرے محافظ وہ میرے مونس و یاور
سب مر گئے اماں
۲
مردوں میں فقط عابد مضطر ہے یا باقر
یہ میرا مقدر
پامال بدن خاک کے ذروں کے برابر
دیکھے ہیں زمیں پر
کس طرح بتاؤں میرا تاراج ہوا گھر
سب مر گئے اماں
۳
کتنے ہی مکانوں کے مکیں ساتھ میں اجڑے
احباب سے بچھڑے
مقتل کا جو منظر تھا نہ دیکھا گیا مجھ سے
ٹکڑوں میں بدن تھے
تیروں پہ کہیں جسم تھے نیزوں پہ لکھا سر
سب مر گئے اماں
۴
چھ ماہ کے بچے کو بھی افسوس نہ چھوڑا
سر اس کا بھی کاٹا
دنیا میں بتاؤ تو کہیں ہوتا ہے ایسا
پھٹتا ہے کلیجہ
چہرے پہ ملا بھائی نے خون علی اصغر
سب مر گئے اماں
۵
زنداں سے سکینہ کو نہ مل پائی رہائی
وہ بھی نہیں آئی
سجاد نے اک ہاتھ سے زنجیر اٹھائی
تب قبر بنائی
دن رات کہا کرتی تھی بچی میری رو کر
سب مر گئے اماں
۶
میں زنداں رہی ہائے مجھے موت نہ آئی
مارے گئے بھائی
جو ساتھ گئے تھے میں انہیں ساتھ نہ لائی
دفنا بھی نہ پائی
چلتے ہیں میرے قلب پہ یہ سوچ کے خنجر
سب مر گئے اماں
۷
کس کس کو نشاں رسی کے اماں میں دکھاؤں
روداد سناؤں
صغریٰ کو قیامت کی خبر کیسے سناؤں
سینے سے لگاؤں
کس دل سے کہوں گی میرے گلشن کے گل تر
سب مر گئے اماں
۸
آصف پڑھا زینب مضطر نے یہ نوحہ
بیہوش تھی صغرا
جب ماں کو دیا بیٹی نے مانجاے کا پرسہ
کہرام بپا تھا
عامر یہ خدا جانے سنا زہرا نے کیوں کر
سب مر گئے اماں
Sab Mar Gaye
Zainab ne kaha turbat-e-Zehra se lipat kar
Sab mar gaye ammaaṅ
Tha naaz mujhe jin pe wo athaarah baraadar
Sab mar gaye ammaaṅ
1
Jitne bhi Madine se mere saath gaye the
Wo saath na aaye
Ye kaise bataauṅ ke kahaaṅ zakhm haiṅ khaaye
Sab khuṅ meiṅ nahaaye
Wo mere muhaafiz wo mere monis o yaawar
Sab mar gaye ammaaṅ
2
Mardoṅ meiṅ faqat Aabid-e-muztar hai ya Baaqir
Ye mera muqaddar
Paamaal badan khaak ke zarroṅ ke baraabar
Dekhe haiṅ zamiṅ par
Kis tarah bataauṅ mera taaraaj hua ghar
Sab mar gaye ammaaṅ
3
Kitne hi makaanoṅ ke makiṅ saath meiṅ ujre
Ahbaab se bichhre
Maqtal ka jo manzar tha na dekha gaya mujh se
Tukroṅ meiṅ badan the
Tiroṅ pe kahiṅ jism the nezoṅ pe kahiṅ sar
Sab mar gaye ammaaṅ
4
Chhe maah ke bachche ko bhi afsos na chhora
Sar us ka bhi kaata
Dunya meiṅ bataao to kahiṅ hota hai aisa
Phatta hai kaleja
Chehre pe mala bhaai ne khun-e-Ali Asghar
Sab mar gaye ammaaṅ
5
Zindaaṅ se Sakina ko na mil paayi rihaai
Wo bhi nahiṅ aayi
Sajjad ne ek haath se zanjir uthaayi
Tab qabr banaayi
Din raat kaha karti thi bachchi meri ro kar
Sab mar gaye ammaaṅ
6
Maiṅ zinda rahi haaye mujhe maut na aayi
Maare gaye bhaai
Jo saath gaye the maiṅ unheṅ saath na laayi
Dafna bhi na paayi
Chalte haiṅ mere qalb pe ye soch ke khanjar
Sab mar gaye ammaaṅ
7
Kis kis ko nishaaṅ rassi ke ammaaṅ maiṅ dikhaauṅ
Rudaad sunaauṅ
Sughra ko qayaamat ki khabar kaise sunaauṅ
Sine se lagaauṅ
Kis dil se kahuṅ gi mere gulshan ke gul-e-tar
Sab mar gaye ammaaṅ
8
Aasif jo parha Zainab-e-muztar ne ye nauha
Behosh thi Sughra
Jab maaṅ ko diya beti ne maa jaaye ka pursa
Kohraam bapa tha
Aamir ye Khuda jaane suna Zehra ne kiuṅ kar
Sab mar gaye ammaaṅ