Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سب کے لب پر سسکیاں ہیں کربلا سے شام تک

Sab Ke Lab Par

Add to set
Show

سب کے لب پر سسکیاں ہیں کربلا سے شام تک

سب کے لب پر سسکیاں ہیں کربلا سے شام تک بازوؤں میں رسیاں ہے کربلا سے شام تک بے ردا سیدانیاں ہے کربلا سے شام تک
۱ اصغر و عباس و اکبر یاد آتے جب یہاں قافلہ میں رو پڑی ہے چیخ کر سب بی‌بیاں ہچکیاں ہی ہچکیاں ہے کربلا سے شام تک
۲ عابد بیمار کی گردن میں ہے طوقِ گراں اور اس پر تازیانوں سے ہے زخمی ناتواں پاؤں میں بھی بیڑیاں ہے کربلا سے شام تک
۳ پاؤں میں چھالے پڑے ہیں چور زخموں سے بدن بیکس و مظلوم عابد بے سہارا بے وطن ہر قدم دشواریاں ہیں کربلا سے شام تک
۴ ایک بھی اپنا نہیں کوئی یہاں پوچھے جو حال ظالموں کے خوف سے ہے تشنہ لب بچے نڈھال پیاس ہے اور سسکیاں ہیں کربلا سے شام تک
۵ ظلم احمد کے گھرانے پر ہوئے ہیں بے شمار چادریں سب کی چھنی ہیں کیا رقیہ کیا رباب سر جھکائے بی‌بیاں ہیں کربلا سے شام تک
۶ بیکسوں کا حال کوئی پوچھنے والا نہیں اب کوئی پردہ نہیں ہے اب کوئی سایہ نہیں سر کھلے سیدانیاں ہیں کربلا سے شام تک
۷ بچے بچے نے اٹھائے ہیں یہاں رنج و الم کون ہے کس نے کیا ہے ان غریبوں پر ستم ہر طرف خاموشیاں ہیں کربلا سے شام تک
۸ نرغۂ اعدا میں عترت ہے شہ مظلوم کی جس طرف اٹھتی ہے نظریں زینب و کلثوم کی موت کی پرچھائیاں ہیں کربلا سے شام تک
۹ قافلے کی سرپرستی کر رہی ہے غم گسار بعد میں عباس کے زینب بنی ہے ذمہ دار اب یہ ذمہ داریاں ہیں کربلا سے شام تک
۱۰ تازیانوں کی صدائیں گونجتی ہیں دم بہ دم زندگی کی سانس لے سکتے نہیں اہلِ حرم کس قدر پابندیاں ہیں کربلا سے شام تک
۱۱ کس طرح قرطاس پہ لکھے گا نظمی کا قلم بیکسی میں تشنہ لب جاگے ہوئے ہیں اہلِ حرم اور شب بیداریاں ہیں کربلا سے شام تک

Sab Ke Lab Par

Sab ke lab par siskiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak Baazuoṅ meiṅ rassiyaaṅ hai Karbala se shaam tak Berida Sayyedaaniyaaṅ hai Karbala se shaam tak
1 Asghar o Abbas o Akbar yaad aate jab yahaaṅ Qaafila meiṅ ro pari hai chikh kar sab Bibiyaaṅ Hichkiyaaṅ hi hichkiyaaṅ hai Karbala se shaam tak
2 Aabid-e-bimaar ki gardan meiṅ hai tauq-e-garaaṅ Aur us par taaziyaanoṅ se hai zakhmi naatawaaṅ Paaoṅ meiṅ bhi beriyaaṅ hai Karbala se shaam tak
3 Paaoṅ meiṅ chhaale pare haiṅ chur zakhmoṅ se badan Bekas o mazlum Aabid besahaara bewatan Har qadam dushwaariyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
4 Ek bhi apna nahiṅ koi yahaaṅ puchhe jo haal Zaalimoṅ ke khauf se hai tashna lab bachche nidhaal Pyaas hai aur siskiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
5 Zulm Ahmad ke gharaane par hue haiṅ beshumaar Chaadareṅ sab ki chhini haiṅ kya Ruqayya kya Rabaab Sar jhukaaye Bibiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
6 Bekasoṅ ka haal koi puchhne waala nahiṅ Ab koi parda nahiṅ hai ab koi saaya nahiṅ Sar khule Sayyedaaniyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
7 Bachche bachche ne uthaae haiṅ yahaaṅ ranj o alam Kaun hai kis ne kiya hai in ghariboṅ par sitam Har taraf khaamoshiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
8 Nargha-e-aada meiṅ itrat hai Shah-e-mazlum ki Jis taraf uthti hai nazreṅ Zainab o Kulsum ki Maut ki parchhaaiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
9 Qaafile ki sarparasti kar rahi hai gham gusaar Baad meiṅ Abbas ke Zainab bani hai zimmedaar Ab ye zimmedaariyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
10 Taaziyaanoṅ ki sadaaeṅ gunjti haiṅ dam ba dam Zindagi ki saaṅs le sakte nahiṅ ahl-e-haram Kis qadar paabandiyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak
11 Kis tarah qirtaas pe likhega Nazmi ka qalam Bekasi meiṅ tashna lab jaage hue haiṅ ahl-e-haram Aur shab bedaariyaaṅ haiṅ Karbala se shaam tak