ہائے بیمار ہائے دربار
Saamne Darbar Ke
Show
ہائے بیمار ہائے دربار
ہائے بیمار ہائے دربار
سامنے دربار کے غیرتِ سجاد کا ہے یہ کیسا امتحاں
تین دن گزرے کھڑی ہے فاطمہ کی بیٹیاں
۱
شام والے ہنس رہے ہیں بیکسوں کو دیکھ کر
ہے چراغاں چار سو اور سج رہے ہیں بام و در
بابِ ساعت پر رکا ہے بیکسوں کا کارواں
۲
سر علی اکبر کا نیزے پر اٹھاتے ہیں شقی
سن چکی سترہ اذانیں بے ردا بنتِ علی
رو رہی ہے ہر اذاں سن کر علی اکبر کی ماں
۳
مثلِ زہرا سر جھکائے شامیوں میں آ گئی
چار برسوں میں سکینہ پر ضعیفی چھا گئی
کان بھی زخمی ہے گالوں پر طمانچوں کے نشاں
۴
خون کے آنسو ٹپکتے ہیں سرِ شبیر سے
پوچھتی ہے جب سکینہ زینبِ دلگیر سے
اے پھپھی اماں یہاں سے کب چلے گا کارواں
۵
سب سے مشکل مرحلہ سجاد پہ یاور یہ تھا
شام کے دربار میں جب قافلہ جانے لگا
پڑھ رہی تھی انا للّٰہ اس گھڑی سب بیبیاں
۶
خون روتا ہے جو عابد اس کو یہ احساس ہے
فاطمہ زہرا کی چادر شامیوں کے پاس ہے
دیکھ کر کہتی ہے زینب میرے غازی ہو کہاں
Saamne Darbar Ke
Haye bimaar haye darbaar
Saamne darbaar ke Ghairat-e-Sajjad ka hai ye kaisa imtihaaṅ
Tin din guzre khari hai Fatima ki betiyaṅ
1
Shaam waale haṅs rahe haiṅ bekasoṅ ko dekh kar
Hai charaaghaaṅ chaar su aur saj rahe haiṅ baam o dar
Baab-e-Saaat par ruka hai bekasoṅ ka kaarwaaṅ
2
Sar Ali Akbar ka neze par uthaate haiṅ shaqi
Sun chuki satrah azaaneṅ berida Bint-e-Ali
Ro rahi hai har azaaṅ sun kar Ali Akbar ki maaṅ
3
Misl-e-Zehra sar jhukaaye shaamiyoṅ meiṅ aa gayi
Chaar barsoṅ meiṅ Sakina par zaifi chhaa gayi
Kaan bhi zakhmi hai gaaloṅ par tamaachoṅ ke nishaaṅ
4
Khun ke aaṅsu tapakte haiṅ sar-e-Shabbir se
Puchhti hai jab Sakina Zainab-e-Dilgir se
Ae phuphi amma yahaaṅ se kab chale ga kaarwaaṅ
5
Sab se mushkil marhala Sajjad pe Yawar ye tha
Shaam ke darbaar meiṅ jab qaafila jaane laga
Parh rahi thi inna lillah us ghari sab bibiyaṅ
6
Khun rota hai jo Abid us ko ye ehsaas hai
Fatima Zehra ki chaadar shaamiyoṅ ke paas hai
Dekh kar kehti hai Zainab mere Ghazi ho kahaaṅ