روئی جب لاڈلی محمد کی سارا دربار مسکرایا ہے
Royi Jab Laadli Muhammad Ki Sara Darbar Muskuraya Hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Royi Jab Laadli Muhammad Ki Sara Darbar Muskuraya Hai
Haye Baad-e-Rasool Zehra Par Kaisa Ghurbat Ka Waqt Aaya Hai
1
Jese Jese Batool Roti Theen Qehqahay Unke Barhtay Jatay Thay
Sath Jinko Batool Laayi Theen Ashk Dono Gawah Bahatay Thay
Sab Thay Masroof Muskuranay Mein Na Kisi Ko Bhi Tars Aaya Hai
2
Tere Mimbar Pe Bethay Ghasib Ko Teri Tehreer Bhi Dikhayi Hai
Karke Tukray Laeen Ne Baba Bharay Darbar Mein Urayi Hai
Paak Tehreer Ko Hai Tukron Mein Maine Darbar Se Uthaya Hai
3
Main To Wo Hun Ke Ya Rasool Allah Jiski Taazeem Aap Kartay Thay
Naam Lena Ho Jab Mera Baba Aap Pehlay Durood Parhtay Thay
Kya Bataun Ke Mujh Pe Kya Guzri Us Ne To Keh Ke Jab Bulaya Hai
4
Ye Wo Bibi Hai Ke Muhammad Bhi Jisko Umme Abiha Kehtay Thay
Wo Sawali Bani Khari Thi Magar Samnay Kursiyon Par Bethay Thay
Usko Muslim Kahun Bhala Kyun Kar Jisne Bibi Ka Dil Dukhaya Hai