روتی ہے علی زادی بابا کے جنازے پر
Roti Hai Ali Zaadi
Show
روتی ہے علی زادی بابا کے جنازے پر
روتی ہے علی زادی بابا کے جنازے پر
بند آنکھوں سے روتے ہیں ہر بین پر خود حیدر
۱
ماں چھوڑ گئی پہلے اب چھوڑ چلے تم بھی
اب تک میں نہیں بھولی جلتا ہوا بابا در
۲
یہ کوفے گلیوں میں حیدر کا جنازہ ہے
یہ محمل زینب ہے یہ شام کے رستے پر
۳
حسنین کے رونے کی چھائی ہے صدا ہر سوں
سب دیکھتے ہیں بابا رو رو کے تیرا بستر
۴
ہر روز مصلے پر ڈھونڈوں گی تجھے بابا
دیکھوں گی بھلا کیسے اجڑا ہوا اپنا گھر
۵
عاشور کے دن بابا پہچان سکے مجھ کو
پھیلایا ہے بالوں کو یہ سوچ کے چہرے پر
۶
کہرام ہوا برپا اس وقت جنازے پر
رخصت کی اجازت دی زینب نے جو خود آ کر
۷
احساسِ یتیمی کا کہتا ہے مجھے بابا
ظالم سے بچا پائے بیٹی یہ تیری چادر
۸
زاری یہی لگتی تھا تابوت ہے شانے پہ
مولا کی شہادت کا لکھتا تھا میں جب منظر
Roti Hai Ali Zaadi
Roti hai Ali zaadi baaba ke janaaze par
Band aankhoṅ se rote haiṅ har bain par khud Haider
1
Maaṅ chhor gayi pehle ab chhor chale tum bhi
Ab tak maiṅ nahiṅ bhuli jalta hua baaba dar
2
Ye Kufe ki galiyoṅ meiṅ Haider ka janaaza hai
Ya mahmil-e-Zainab hai ye Shaam ke raste par
3
Hasnain ke rone ki chhaayi hai sada har su
Sab dekhte haiṅ baaba ro ro ke tera bistar
4
Har roz musalle par dhundungi tujhe baaba
Dekhungi bhala kaise ujra hua apna ghar
5
Aashur ke din baaba pehchaan sake mujh ko
Phailaaya hai baaloṅ ko ye soch ke chehre par
6
Kohraam hua barpa us waqt janaaze par
Rukhsat ki ijaazat di Zainab ne jo khud aa kar
7
Ehsaas-e-yatimi ka kehta hai mujhe baaba
Zaalim se bacha paaye beti ye teri chaadar
8
Zaair yahi legti tha taabut hai shaane pe
Maula ki shahaadat ka likhta tha maiṅ jab manzar