Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

رو کے زہرا نے کہا پسلیاں ٹوٹ گئیں

Roke Zehra Ne Kaha

Add to set
Show

رو کے زہرا نے کہا پسلیاں ٹوٹ گئیں

رو کے زہرا نے کہا پسلیاں ٹوٹ گئیں میرا محسن نہ رہا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۱ کوئی بھی درد کا منظر نہیں زہرا جیسا کوئی اٹھارہ برس میں نہیں بوڑھا ہوتا لے کے چلتی ہوں عصا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۲ ہائے کر دیں گے وہ حیدر کے بھی سر کے ٹکڑے طشت میں ہوں گے حسن کے بھی جگر کے ٹکڑے ہے یہ آغازِ جفا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۳ ظالموں نے علی اصغر سے بھی کمسن مارا مجھکو شعلوں میں جلا کر میرا محسن مارا یوں ستم مجھ پر ہوا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۴ ہائے زینب تیری غربت میں کہوں کیا کس سے شام میں تو بھی کھڑی ہو گی بہتر گھنٹے دل یہ پھٹتا ہے میرا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۵ اس لئے بیٹھ کے پڑھتی ہوں نمازیں اکثر بعد بابا کے ہوئے ظلم ایسے مجھ پر درد ہوتا ہے سیاہ پسلیاں ٹوٹ گئیں
۶ کند خنجر سے میرے لال کا کاٹیں گے گلا ہائے آتی ہے مجھے یاد بہت کرب و بلا صبر ہو کیسے بھلا پسلیاں ٹوٹ گئیں
۷ درد عرفان و شرر کیسے ہو زہرا کا بیاں دل ہلاتی ہے عزاداروں کے بی‌بی کی عزا ظلم کچھ ایسا ہوا پسلیاں ٹوٹ گئیں

Roke Zehra Ne Kaha

Ro ke Zehra ne kaha pasliyaaṅ tut gayiṅ Mera Mohsin na raha pasliyaaṅ tut gayiṅ
1 Koi bhi dard ka manzar nahiṅ Zehra jaisa Koi athaarah baras meiṅ nahiṅ burha hota Le ke chalti huṅ asa pasliyaaṅ tut gayiṅ
2 Haaye kar deṅ ge wo Haidar ke bhi sar ke tukre Tasht meiṅ hoṅ ge Hasan ke bhi jigar ke tukre Hai ye aaghaaz-e-jafa pasliyaaṅ tut gayiṅ
3 Zaalimoṅ ne Ali Asghar se bhi kamsin maara Mujhko sholoṅ meiṅ jala kar mera Mohsin maara Yuṅ sitam mujh par hua pasliyaaṅ tut gayiṅ
4 Haaye Zainab teri ghurbat maiṅ kahuṅ kya kis se Shaam meiṅ tu bhi khari hogi bahattar ghante Dil ye phatta hai mera pasliyaaṅ tut gayiṅ
5 Is liye baith ke parhti huṅ namaazeṅ aksar Baad Baaba ke hue zulm aise mujh par Dard hota hai siyaah pasliyaaṅ tut gayiṅ
6 Kund khanjar se mere laal ka kaateṅ ge gala Haaye aati hai mujhe yaad bahut Karb o Bala Sabr ho kaise bhala pasliyaaṅ tut gayiṅ
7 Dard Irfan o Sharar kaise ho Zahra ka bayaaṅ Dil hilaati hai azaadaaroṅ ke Bibi ki aza Zulm kuch aisa hua pasliyaaṅ tut gayiṅ