رو رو کے بیاں کرتی تھی یہ زینب ناشاد
Ro Ro Ke Bayaṅ
Show
رو رو کے بیاں کرتی تھی یہ زینب ناشاد
رو رو کے بیاں کرتی تھی یہ زینب ناشاد
اے سید سجاد اے سید سجاد
اب ہوش میں آؤ کہ ہوا گھر میرا برباد
اے سید سجاد اے سید سجاد
۱
مارے گئے عباس دلاور لب دریا
پامال ہوا رن میں تیرے باپ کا لاشہ
خیمے بھی جلے جل گیا معصوم کا جھولا
جل جائے کہ جاں اپنی بچائے کرو ارشاد
۲
میں روتی رہی اکبر مہرو گئے مارے
بھائی پہ فدا عون و محمد ہوئے پیارے
سب چھپ گئے اس دشت میں آنکھوں کے ستارے
چلتی تھی چھری بھائی پہ میں کرتی تھی فریاد
۳
بازو کو میرے چوم کے بابا نے کہا تھا
ایک روز رسن بازو میں باندھیں گے یہ اعدا
میں کہتی تھی کیوں کیا میرا عباس نہ ہوگا
رہ رہ کے مجھے بات یہی آتی ہے اب یاد
۴
بازو کٹے عباس کے میں دیکھ رہی تھی
نیزہ لگا اکبر کے کمر شہ کی جھکی تھی
اصغر کے لگا تیر قیامت کی گھڑی تھی
ہے زخم جو اس دل پہ نہیں ان کی ہے تعداد
۵
اے لال چلو یاں سے کہ زنداں کا سفر ہے
چادر کی جگہ خاک بنی زینت سر ہے
آمادہ جفا پر یہاں ہر بانیٔ شر ہے
اب اٹھ کے تو دکھلاؤ ذرا قوت اجداد
۶
ہونا ہے ابھی تم کو بھی پابند سلاسل
روتا ہے تجھے دیکھ کے بیٹا یہ میرا دل
اب جلد چلو دور بہت اپنی ہے منزل
سہنی ہے بہت تم کو ابھی راہ میں افتاد
۷
ریحان تو اس وقت فقط اتنی دعا کر
اس مجلس شبیر میں ہاتھوں کو اٹھا کر
اے جان نبی روح نبی سبط پیمبر
محشر میں سناؤں مجھے نوحہ یہ رہے یاد
Ro Ro Ke Bayaṅ
Ro ro ke bayaṅ karti thi ye Zainab-e-naashaad
Ae Sayyad-e-Sajjaad ae Sayyad-e-Sajjaad
Ab hosh meiṅ aao ke hua ghar mera barbaad
Ae Sayyad-e-Sajjaad ae Sayyad-e-Sajjaad
1
Maare gaye Abbas-e-dilaawar lab-e-darya
Paamaal hua ran meiṅ tere baap ka laasha
Khaime bhi jale jal gaya maasum ka jhula
Jal jaaye ke jaaṅ apni bachaaye karo irshaad
2
Maiṅ roti rahi Akbar-e-mahru gaye maare
Bhaai pe fida Aun o Muhammad hue pyaare
Sab chhup gaye is dasht meiṅ aaṅkhoṅ ke sitaare
Chalti thi chhuri bhaai pe maiṅ karti thi faryaad
3
Baazu ko mere chum ke Baaba ne kaha tha
Ek roz rasan baazu meiṅ baandheṅ ge ye aadaa
Maiṅ kehti thi kiuṅ kya mera Abbas na hoga
Reh reh ke mujhe baat yehi aati hai ab yaad
4
Baazu kate Abbas ke maiṅ dekh rahi thi
Naiza laga Akbar ke kamar Shah ki jhuki thi
Asghar ke laga tir qayaamat ki ghari thi
Hai zakhm jo is dil pe nahiṅ un ki hai taadaad
5
Ae laal chalo yaaṅ se ke zindaaṅ ka safar hai
Chaadar ki jagah khaak bani zinat-e-sar hai
Aamaada jafa par yahaaṅ har baani-e-shar hai
Ab uth ke to dikhlaao zara quwwat-e-ajdaad
6
Hona hai abhi tum ko bhi paaband-e-salaasil
Rota hai tujhe dekh ke beta ye mera dil
Ab jald chalo dur bahut apni hai manzil
Sehni hai bahut tum ko abhi raah meiṅ uftaad
7
Rehaan tu is waqt faqat itni dua kar
Is majlis-e-Shabbir meiṅ haathoṅ ko utha kar
Ae jaan-e-Nabi ruh-e-Nabi sibt-e-Payambar
Mahshar meiṅ sunaauṅ mujhe nauha ye rahe yaad