امام وقت ہے رنجیدہ کون سوچے گا
Ro Rahe Haiṅ Imam
Show
امام وقت ہے رنجیدہ کون سوچے گا
امام وقت ہے رنجیدہ کون سوچے گا
آ کسی روز اسی دکھ پہ اکٹھے روئیں
۱
یاد کرکے لٹے گھر کا منظر
رو رہے ہیں امام زمانہ
خاک کربوبلا ڈالے سر پر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۲
تیرتا ہے نظر میں وہ منظر
چل رہا ہے نمازی پہ خنجر
وار ہوتا ہے سوکھے گلے پر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۳
بھول سکتے نہیں جلتے خیمے
بھول سکتے نہیں تازیانے
بھولیں کیسے وہ زینب کی چادر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۴
یاد ہے ان کو اب بھی وہ منظر
جب برستے تھے پتھر سروں پر
بیبیاں شام میں تھی کھلے سر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۵
یاد کرکے لٹی چادروں کو
یاد کرکے سفر کے دکھوں کو
یاد کرکے سکینہ کے گوہر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۶
یاد کرکے وہ غازی کے بازو
یاد کرکے وہ اکبر کے گیسو
یاد کرکے وہ ظلم ستمگر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۷
ذکر کربوبلا ہو رہا ہے
آج سارا جہاں رو رہا ہے
آ کے خود آج فرش عزا پر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۸
العجل العجل کہنے والوں
اپنے اعمال کو بھی تو دیکھو
با خدا غیب میں آج تم پر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۹
غیب میں کر رہے ہیں دعائیں
جلد غیبت سے باہر وہ آئیں
بدلہ کربلا کا لے جلد آ کر
رو رہے ہیں امام زمانہ
۱۰
آنکھ میرے قلم کی ہوئی نم
کر رہی ہے یہ تحریر ماتم
نور نوحہ رقم ہو یہ کیونکر
رو رہے ہیں امام زمانہ
Ro Rahe Haiṅ Imam
Imam-e-waqt hai ranjida kaun soche ga
Aa kisi roz isi dukh pe ikatthe roeṅ
1
Yaad kar ke lute ghar ka manzar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
Khaak-e-Karb o Bala daale sar par
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
2
Tairta hai nazar meiṅ wo manzar
Chal raha hai namaazi pe khanjar
Waar hota hai sukhe gale par
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
3
Bhul sakte nahiṅ jalte khaime
Bhul sakte nahiṅ taaziyaane
Bhuleṅ kaise wo Zainab ki chaadar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
4
Yaad hai un ko ab bhi wo manzar
Jab baraste the patthar saroṅ par
Bibiyaaṅ Shaam meiṅ thi khule sar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
5
Yaad kar ke luti chaadaroṅ ko
Yaad kar ke safar ke dukhoṅ ko
Yaad kar ke Sakina ke gauhar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
6
Yaad kar ke wo Ghaazi ke baazu
Yaad kar ke wo Akbar ke gesu
Yaad kar ke wo zulm-e-sitamgar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
7
Zikr-e-Karb o Bala ho raha hai
Aaj saara jahaaṅ ro raha hai
Aa ke khud aaj farsh-e-aza par
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
8
Al ajal al ajal kehne waaloṅ
Apne aamaal ko bhi to dekho
Ba khuda ghaib meiṅ aaj tum par
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
9
Ghaib meiṅ kar rahe haiṅ duaaeṅ
Jald ghaibat se baahar wo aaeṅ
Badla Karbala ka le jald aa kar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana
10
Aaṅkh mere qalam ki hui nam
Kar rahi hai ye tahrir maatam
Nur nauha raqam ho ye kiunkar
Ro rahe haiṅ Imam-e-zamaana