رسن بستہ حرم مجبور اور لاچار پھرتے ہیں
Rasan Basta Haram
Show
رسن بستہ حرم مجبور اور لاچار پھرتے ہیں
رسن بستہ حرم مجبور اور لاچار پھرتے ہیں
برہنہ سر برہنہ پا سرِ بازار پھرتے ہیں
۱
گلے میں طوق ہے زنجیرِ پا چلنے نہیں دیتی
مگر کانٹوں کے اوپر عابد بیمار پھرتے ہیں
۲
کہا کرتے تھے عابد عمر بھر زینب سے رو رو کر
پھوپھی آنکھوں میں زنداں کے در و دیوار پھرتے ہیں
۳
بکا کرتی تھی صغرا راتوں کو فرقت میں بابا کی
وطن کو دیکھئے کب سید ابرار پھرتے ہیں
۴
پھرائی جاتی ہے در در رسول پاک کی عترت
مہار اونٹوں کی پکڑے عابد بیمار پھرتے ہیں
۵
حیات ایک ایک کو حسرت سے دیکھا کرتا ہے پہروں
کبھی جو کربلا سے شاہ کے زوار پھرتے ہیں
Rasan Basta Haram
Rasan basta haram majbur aur laachaar phirte haiṅ
Barehna sar barehna pa sar-e-baazaar phirte haiṅ
1
Gale meiṅ tauq hai zanjir-e-pa chalne nahiṅ deti
Magar kaantoṅ ke upar Aabid-e-Bimaar phirte haiṅ
2
Kaha karte the Aabid umr bhar Zainab se ro ro kar
Phuphi aankhoṅ meiṅ zindaaṅ ke dar o diwaar phirte haiṅ
3
Bukaa karti thi Sughra raatoṅ ko furqat meiṅ baabaa ki
Watan ko dekhiye kab Sayyid-e-Abraar phirte haiṅ
4
Phiraayi jaati hai dar dar Rasul-e-Paak ki itrat
Mahaar untoṅ ki pakre Aabid-e-Bimaar phirte haiṅ
5
Hayaat ek ek ko hasrat se dekha karta hai pehroṅ
Kabhi jo Karbala se Shaah ke zawwaar phirte haiṅ