غرور فوج ستمگر کو توڑ سکتا ہوں
Ran Mein Abbas
Show
غرور فوج ستمگر کو توڑ سکتا ہوں
غرور فوج ستمگر کو توڑ سکتا ہوں
رخ فرات نگاہوں سے موڑ سکتا ہوں
علی کا بیٹا ہوں معجز نمائیوں کی قسم
میں آفتاب سے پانی نچوڑ سکتا ہوں
ہر طرف پھیلا ہوا موت کا ڈر ہے
رن میں عباس کے آنے کی خبر ہے
۱
پھول کھلنے لگے وفاؤں کے
رنگ پھیکے ہیں بے وفاؤں کے
حوصلے پست ہیں جفاؤں کے
دل دھڑکتے ہیں سورماؤں کے
اس کی ہیبت کا اثر ہے
۲
قافلے برچھیوں کے بھالوں کے
زور گھٹنے لگے رسالوں کے
خوف تھمتے نہیں خیالوں کے
کانپتے ہیں بدن جیالوں کے
سب کی پتھرائی نظر ہے
۳
ساتھ ہے مشک و علم بھی اسکے
سوئے دریا ہے قدم بھی اسکے
اور پیاسے ہیں حرم بھی اسکے
دل میں ہے رنج و الم بھی اسکے
شیر وہ تشنہ جگر ہے
۴
بولے عباس کہ بس کفر نہ بک
لا فتی ہم کو پکارے ہیں ملک
حمزہ جعفر سے جوانوں کی دھمک
بدر کی وادیوں سے آج تلک
میرے شجرے کا اثر ہے
۵
اسکے بازو میں ہے زور حیدر
باپ ہے اس کا فاتح خیبر
یاد ہے سب کو مرحب و انتر
راہ روکے گا کون اب جا کر
یہ بھلا کس کا جگر ہے
۶
خوف سے کیوں ہوئی ہے بیزاری
فوج دریا پہ بلا لے ساری
شمر کی دیکھ لوں جفا کاری
وہ بھی دیکھے میری علمداری
پسر سعد کدھر ہے
۷
کس میں کتنا ہنر ہے دکھلا دو
میں اکیلا ہوں اور تم لاکھوں
تم بہادر ہو آج مت بھاگو
روک کر آج مجھکو دکھلا دو
دیکھ لو کون زبر ہے
۸
ہے نسیم ایسا نظارہ اس کا
اسکا دریا ہے کنارہ اس کا
ہاں غضب ایک اشارہ اس کا
شادماں کو ہے سہارا اس کا
وہ جو حیدر کا پسر ہے
Ran Mein Abbas
Ghurur-e-fauj-e-sitamgar ko tor sakta huṅ
Rukh-e-Furaat nigaahoṅ se mor sakta huṅ
Ali ka beta huṅ mojiz numaaiyoṅ ki qasam
Maiṅ aaftaab se paani nichor sakta huṅ
Har taraf phaila hua maut ka darr hai
Ran meiṅ Abbas ke aane ki khabar hai
1
Phul khilne lage wafaaoṅ ke
Rang phike haiṅ bewafaaoṅ ke
Hausle past haiṅ jafaaoṅ ke
Dil dharakte haiṅ surmaaoṅ ke
Us ki haibat ka asar hai
2
Qaafile barchhiyoṅ ke bhaaloṅ ke
Zor ghatne lage risaaloṅ ke
Khauf thamte nahiṅ khayaaloṅ ke
Kaaṅpte haiṅ badan jiyaaloṅ ke
Sab ki pathrayi nazar hai
3
Saath hai mashk o alam bhi uske
Su-e-darya hai qadam bhi uske
Aur pyaase haiṅ haram bhi uske
Dil meiṅ hai ranj o alam bhi uske
Sher wo tashna jigar hai
4
Bole Abbas ke bas kufr na bak
La fata hum ko pukaare haiṅ malak
Hamza Jafar se jawaanoṅ ki dhamak
Badr ki waadiyoṅ se aaj talak
Mere shajre ka asar hai
5
Uske baazu meiṅ hai zor-e-Haidar
Baap hai uska faatih-e-Khaibar
Yaad hai sab ko Marhab o Antar
Raah rokega kaun ab jaa kar
Ye bhala kis ka jigar hai
6
Khauf se kiuṅ hui hai bezaari
Fauj darya pe bula le saari
Shimr ki dekh luṅ jafa kaari
Wo bhi dekhe meri alamdaari
Pisar-e-Saad kidhar hai
7
Kis meiṅ kitna hunar hai dikhla do
Maiṅ akela huṅ aur tum laakhoṅ
Tum bahaadur ho aaj mat bhaago
Rok kar aaj mujhko dikhla do
Dekh lo kaun zabar hai
8
Hai Nasim aisa nazaara uska
Uska darya hai kinaara uska
Haaṅ ghazab ek ishaara uska
Shaadmaaṅ ko hai sahaara uska
Wo jo Haidar ka pisar hai