قرآن و علی علم کا معیار ہیں دونوں
Quran o Ali Ilm Ka Maiyaar Haiṅ Donoṅ
Show
قرآن و علی علم کا معیار ہیں دونوں
اللہ و پیمبر کے مددگار ہیں دونوں
قرآن و علی علم کا معیار ہیں دونوں
۱
عاشق میرے مولا کے ہیں دونوں ہیں وفادار
اک حضرتِ عیسیٰ ہیں تو اک میثمِ تمار
حیدر کی محبت میں سرِ دار ہیں دونوں
۲
خود کہتے ہیں کفار یہ دعویٰ نہیں میرا
صفین کا لشکر ہو یا ہو گھاٹ کا پہرا
غازی کے لیے ریت کی دیوار ہیں دونوں
۳
کام آ گئی تربت میں میری الفتِ حسنین
اپنے ہی عقیدے کے ملے مجھ کو نکیرین
میری طرح مولا کے عزادار ہیں دونوں
۴
فطرس یہی کہتا ہوا اڑتا ہے ہوا میں
کعبے میں دعا مانگ لو یا کرب و بلا میں
شبیر شہنشاہ کے دربار ہیں دونوں
۵
مارے گئے تلوار سے جب مرحب و عنتر
اصحابِ پیمبر سے کہا موت نے ہنس کر
دو آئے تھے میدان میں اب چار ہیں دونوں
۶
اک سجدۂ معبود سے منہ سے موڑ رہا ہے
اک حلقۂ ماتم سے ہمیں توڑ رہا ہے
تم کچھ بھی کہو اصل میں غدار ہیں دونوں
۷
اک ہے شبِ معراج پیمبر سے مخاطب
اک ہے سرِ دربار ستمگر سے مخاطب
لہجے میں مگر حیدرِ کرار ہیں دونوں
۸
کانٹے کبھی پھول کی طرح ہو نہیں سکتے
سوتے ہیں تو سونے دو انہیں پاس نبی کے
یہ فاطمہ زہرا کے گنہگار ہیں دونوں
۹
عباس کے شاگرد علی کے ہیں نواسے
موت ان سے ہے ڈرتی یہ نہیں ڈرتے قضا سے
زینب کے پسر جعفرِ طیار ہیں دونوں
۱۰
اک کو دیے افکار دیا اک کو ترنم
وہ میر حسن میر ہو یا میر تکلم
یہ میر رضی میر کے شہکار ہیں دونوں
Quran o Ali Ilm Ka Maiyaar Haiṅ Donoṅ
Allah o Payambar ke madadgaar haiṅ donoṅ
Quran o Ali ilm ka maiyaar haiṅ donoṅ
1
Aashiq mere Maula ke haiṅ donoṅ haiṅ wafaadaar
Ek Hazrat-e-Isa haiṅ to ek Maisam-e-Tammaar
Haider ki muhabbat meiṅ sar-e-daar haiṅ donoṅ
2
Khud kahte haiṅ kuffaar ye daawa nahiṅ mera
Siffin ka lashkar ho ya ho ghaat ka pahra
Ghaazi ke liye ret ki diwaar haiṅ donoṅ
3
Kaam aa gai turbat meiṅ meri ulfat-e-Hasnain
Apne hi aqide ke mile mujh ko Naqirain
Meri tarah Maula ke azaadaar haiṅ donoṅ
4
Fitrus yahi kahta hua urta hai hawa meiṅ
Kaabe meiṅ dua maaṅg lo ya Karb o Bala meiṅ
Shabbair shahanshaah ke darbaar haiṅ donoṅ
5
Maare gae talwaar se jab Marhab o Antar
Ashaab-e-Payambar se kaha maut ne haṅs kar
Do aae the maidaan meiṅ ab chaar haiṅ donoṅ
6
Ek sajda-e-maabud se muṅh se mor raha hai
Ek halqa-e-maatam se hameṅ tor raha hai
Tum kuchh bhi kaho asl meiṅ ghaddaar haiṅ donoṅ
7
Ek hai shab-e-Meraaj Payambar se mukhaatib
Ek hai sar-e-darbaar sitamgar se mukhaatib
Lahje meiṅ magar Haider-e-Karraar haiṅ donoṅ
8
Kaaṅte kabhi phul ki tarah ho nahiṅ sakte
Sote haiṅ to sone do unheṅ paas Nabi ke
Ye Fatima Zahra ke gunahgaar haiṅ donoṅ
9
Abbas ke shaagird Ali ke haiṅ nawaase
Maut in se hai darti ye nahiṅ darte qaza se
Zainab ke pisar Jaafar-e-Tayyaar haiṅ donoṅ
10
Ek ko diye afkaar diya ek ko tarannum
Wo Mir Hasan Mir ho ya Mir Takallum
Ye Mir Razi Mir ke shaahkaar haiṅ donoṅ