قرآن اور حُسین
Quran Aur Husain
Show
قرآن اور حُسین
قرآن اور حُسین
واللہ سرِ مو فرق نہیں ہے
دونوں کے مابین
۱
اُترا وہ قلبِ محمد پر
یہ زہرا کے گھر میں آیا
کعبہ کوثر ایک دوسرے سے
ہونگے نہ کبھی یہ دونوں جُدا
دونوں ہیں نور ہے دونوں کی
منزل کعبہ قوسین
۲
وہ خواب ہے اور تعبیر ہے یہ
وہ گھاکا ہے تعمیر ہے یہ
ہرطاس دو عالم پر لکھی
تحریر ہے وہ تفسیر ہے یہ
محبوبِ الٰہی کے دل کا
یہ دونوں ہی ہیں چین
۳
وہ معجزہ ہے اعجاز ہے یہ
وہ نور ہے یہ اُس کا پیکر
پروان چڑھے ہیں یہ دونوں
آغوشِ پیمبر میں پل کر
قرآن لبوں سے کھیلتا تھا
زُلفوں سے حسنین
۴
جاں وار کے حق پر شِہ نے کیا
قرآن کے دُشمن کو ابتر
قرآن صدائیں دیتا ہے
انا اعطینٰک الکوثر
باقی ہے نسل محمد کی
جب تک ہے نسلِ حُسین
۵
قرآن پیامِ احمد ہے
شبیر سلامِ احمد ہے
ان دونوں کے دم سے قائم
عالم میں نظامِ احمد ہے
اللہ و نبی کی حُجت ہے
یہ مابینِ کونین
۶
درسِ قرآن دیا شِہ نے
عالم کو اُسی تلواروں میں
اک حرفِ شہادت کی لکھ دی
تفسیر بہتر پاروں میں
قربان تیرے اے وارثِ علم
شاہِ بدر و حُنین
۷
قرآن کو نوکِ نیزہ پر
پھر تیر میں لے آئے اعدا
مہمان بُلا کر سرور کو
پانی نہ دیا سر کاٹ لیا
سر کھولے ہوئے اک دُکھیاری
ماں کرتی رہ گئی بین
۸
افسوس نبی کی اُمت نے
ان دونوں ہی کی قدر نہ کی
نیزوں سے لگائے زخم کبھی
تیروں سے کیا زاہے زخمی
اُمت نے بعدِ پیمبر
لوٹا دونوں کا چین
۹
صد حیف نبی کی عترت کو
تقدیر نے یہ دن دکھلایا
تا شام بلا کے میدان سے
نیزے پہ سرِ بازار گیا
قرآن سناتا لوگوں کو
زہرا کا نورِ عین
Quran Aur Husain
Quran aur Husain
Wallah sar-e-mu farq nahiṅ hai
Donoṅ ke maabain
1
Utra wo qalb-e-Muhammad par
Ye Zehra ke ghar meiṅ aaya
Kaaba Kausar ek dusre se
Hoṅge na kabhi ye donoṅ juda
Donoṅ haiṅ nur hai donoṅ ki
Manzil Kaaba Qausain
2
Wo khwaab hai aur taabir hai ye
Wo ghaaka hai taamir hai ye
Hartaas do aalam par likhi
Tahrir hai wo tafsir hai ye
Mahbub-e-Ilaahi ke dil ka
Ye donoṅ hi haiṅ chain
3
Wo mojiza hai ejaaz hai ye
Wo nur hai ye us ka paikar
Parwaan charhe haiṅ ye donoṅ
Aaghosh-e-Payambar meiṅ pal kar
Quran laboṅ se khelta tha
Zulfoṅ se Hasnain
4
Jaaṅ waar ke haq par Shah ne kiya
Quran ke dushman ko abtar
Quran sadaaeṅ deta hai
Inna aataina kal kausar
Baaqi hai nasl Muhammad ki
Jab tak hai nasl-e-Husain
5
Quran payaam-e-Ahmad hai
Shabbir salaam-e-Ahmad hai
In donoṅ ke dam se qaaim
Aalam meiṅ nizaam-e-Ahmad hai
Allah o Nabi ki hujjat hai
Ye maabain-e-Kaunain
6
Dars-e-Quran diya Shah ne
Aalam ko usi talwaaroṅ meiṅ
Ek harf-e-shahaadat ki likh di
Tafsir bahattar paaroṅ meiṅ
Qurbaan tere Ae waaris-e-ilm
Shaah-e-Badr o Hunain
7
Quran ko nok-e-neza par
Phir tir meiṅ le aae aada
Mehmaan bulaa kar Sarwar ko
Paani na diya sar kaat liya
Sar khole hue ek dukhyaari
Maaṅ karti rah gai bain
8
Afsos Nabi ki ummat ne
In donoṅ hi ki qadr na ki
Nezoṅ se lagaae zakhm kabhi
Tiroṅ se kiya zaahe zakhmi
Ummat ne baad-e-Payambar
Luta donoṅ ka chain
9
Sad haif Nabi ki itrat ko
Taqdir ne ye din dikhlaaya
Taa Shaam bala ke maidaan se
Neze pe sar-e-baazaar gaya
Quran sunaata logoṅ ko
Zehra ka nur-e-ain