Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

محشر کا ہے منظر

Khiyaam-e-Shah Mein

Add to set
Show

محشر کا ہے منظر

محشر کا ہے منظر ہائے ہائے ہائے ہائے
خیامِ شاہ میں محشر بپا ہے کوئی مقتل کی جانب جا رہا ہے
۱ جسے پالا مرادوں منتوں سے اسی کو اذن مرنے کا دیا ہے
۲ کہا شہ نے یہ لیلیٰ سے نہ روکو علی اکبر شبابِ کربلا ہے
۳ کہاں ڈھونڈوں نظر میں کچھ نہیں ہے جدھر دیکھو اندھیرا چھا گیا ہے
۴ اسی کا خوں بہاتے ہیں مسلماں جو ہمشکلِ محمد مصطفیٰ ہے
۵ زمینِ کربلا بتلا دے مجھ کو میرا لختِ جگر کس جا گرا ہے
۶ یہ بولے شہ علی اکبر صدا دو پدر ہر گام ٹھوکر کھا رہا ہے
۷ جواں بیٹے کے لاشے کو اٹھانا حسین ابنِ علی کا معجزہ ہے
۸ فرید اس غم کی عظمت کیا بیاں ہو یہ وہ غم ہے کہ زینب بے ردا ہے

Khiyaam-e-Shah Mein

Mahshar ka hai manzar Haaye haaye haaye haaye
Khiyaam-e-Shah meiṅ mahshar bapa hai Koi maqtal ki jaanib jaa raha hai
1 Jise paala muraadoṅ mannatoṅ se Usi ko izn marne ka diya hai
2 Kaha Shah ne ye Laila se na roko Ali Akbar shabaab-e-Karbala hai
3 Kahaaṅ dhunduṅ nazar meiṅ kuchh nahiṅ hai Jidhar dekho andhera chhaa gaya hai
4 Usi ka khuṅ bahaate haiṅ musalmaaṅ Jo hamshakl-e-Muhammad Mustafa hai
5 Zamin-e-Karbala batla de mujh ko Mera lakht-e-jigar kis jaa gira hai
6 Ye bole Shah Ali Akbar sada do Pidar har gaam thokar khaa raha hai
7 Jawaaṅ bete ke laashe ko uthaana Husain ibn-e-Ali ka maujiza hai
8 Farid is gham ki azmat kya bayaaṅ ho Ye wo gham hai ke Zainab berida hai