Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

قاسم کی لاش پر کبھی اصغر کی لاش پر

Qasim Ki Laash Par

Add to set
Show

قاسم کی لاش پر کبھی اصغر کی لاش پر

قاسم کی لاش پر کبھی اصغر کی لاش پر عباس جیسے نیک برادر کی لاش پر شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۱ لیلیٰ کی حسرتوں کا جنازہ ہے سامنے زینب کی محنتوں کا جنازہ ہے سامنے شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۲ کبرا پہ دو مصیبتیں آئی ہے ایک ساتھ شوہر کے بعد بھائی سے دھونا پڑے ہیں ہاتھ شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۳ زینب نے جس کو پالا تھا اٹھارہ سال تک ہمراہ جس کو رکھا تھا دورِ کمال تک شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۴ پیری میں نوجوان کا لاشہ ہے سامنے اجڑی ہوئی بہار کا نقشہ ہے سامنے شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۵ آ کر اجل نے باندھے دیے ہاتھ کیا کرے کڑیل جواں چھوڑ دیا ساتھ کیا کرے شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۶ لیلیٰ زمیں پہ بیٹھی ہے خیمے میں بیقرار سب جانتی ہے پھر بھی ہے بیٹے کا انتظار شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۷ سجاد جاؤ باپ کو جا کر سنبھال لو برچھی کی نوک سینے سے جا کر نکال لو شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۸ جب یہ سنا کے ہو گیا اکبر کا انتقال زہرا بھی رن میں آ گئی بکھرا کے اپنے بال شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر
۹ عشرت قیامِ شاہ میں کہرام ہے بپا سر پیٹتا ہے خیمے میں کنبہ رسول کا شہ رو رہے ہیں دشت میں اکبر کی لاش پر

Qasim Ki Laash Par

Qasim ki laash par kabhi Asghar ki laash par Abbas jaise nek baraadar ki laash par Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
1 Laila ki hasratoṅ ka janaaza hai saamne Zainab ki mehnatoṅ ka janaaza hai saamne Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
2 Kubra pe do musibateṅ aayi hai ek saath Shauhar ke baad bhai se dhona pare haiṅ haath Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
3 Zainab ne jis ko paala tha athaarah saal tak Hamraah jis ko rakha tha daur-e-kamaal tak Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
4 Piri meiṅ naujawaan ka laasha hai saamne Ujri hui bahaar ka naqsha hai saamne Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
5 Aa kar ajal ne baandhe diye haath kya kare Kariyal jawaaṅ chhor diya saath kya kare Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
6 Laila zamiṅ pe baithi hai khaime meiṅ beqaraar Sab jaanti hai phir bhi hai bete ka intezaar Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
7 Sajjad jaao baap ko jaa kar sambhaal lo Barchhi ki nok sine se jaa kar nikaal lo Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
8 Jab ye suna ke ho gaya Akbar ka inteqaal Zehra bhi ran meiṅ aa gayi bikhra ke apne baal Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par
9 Ishrat qiyaam-e-Shaah meiṅ kohraam hai bapa Sar pitta hai khaime meiṅ kunba Rasul ka Sheh ro rahe haiṅ dasht meiṅ Akbar ki laash par