Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

قید زنداں میں چھوٹی سی اک ہے قیدن

Qaid Zindaaṅ Meiṅ

Add to set
Show

قید زنداں میں چھوٹی سی اک ہے قیدن

قید زنداں میں چھوٹی سی اک ہے قیدن اک ہے قیدن جانے کب ہو کے رہا جائے گی وہ اپنے وطن اک ہے قیدن
۱ دور بابا سے ہوئی بھیا سے بھی دور ہوئی سسکیاں لے نہ سکے کتنی وہ مجبور ہوئی خون کانوں سے رواں ہاتھوں میں ہے اس کے رسن اک ہے قیدن
۲ جب سے بچھڑی ہے وہ بابا سے کہاں سوتی ہے یاد زندان میں بابا کو کر کے روتی ہے کب اسے سونے بھلا دیتی ہے پتھروں کی چبھن اک ہے قیدن
۳ پوچھتی رہتی ہے سجاد سے کب جاؤں گی گھر کرنا احسان یہ مجھ پر بھائی مر جاؤں اگر جہاں اصغر ہے وہاں کرنا مجھے بھائی دفن اک ہے قیدن
۴ جب وہ زنداں کی دیواروں سے ٹکراتی ہے صرف زنجیر کے رونے کی صدا آتی ہے روئے زندان اسے روئے اسے چرخِ کہن اک ہے قیدن
۵ چھایا زندان میں ہے گور اندھیرا ہائے اور زنداں کے اندھیروں میں وہ ڈر ڈر جائے ہائے خرشید تھی نہ آئے نہ در اس کو کرن اک ہے قیدن

Qaid Zindaaṅ Meiṅ

Qaid zindaaṅ meiṅ chhoti si ek hai qaidan Ek hai qaidan Jaane kab ho ke riha jaayegi wo apne watan Ek hai qaidan
1 Dur Baba se hui bhaiya se bhi dur hui Siskiyaaṅ le na sake kitni wo majbur hui Khun kaanoṅ se rawaaṅ haathoṅ meiṅ hai us ke rasan Ek hai qaidan
2 Jab se bichhri hai wo Baba se kahaaṅ soti hai Yaad zindaan meiṅ Baba ko kar ke roti hai Kab use sone bhala deti hai pattharoṅ ki chubhan Ek hai qaidan
3 Puchhti rehti hai Sajjad se kab jaauṅ gi ghar Karna ehsaan ye mujh par bhai mar jaauṅ agar Jahaaṅ Asghar hai wahaaṅ karna mujhe bhai dafn Ek hai qaidan
4 Jab wo zindaaṅ ki diwaaroṅ se takraati hai Sirf zanjir ke rone ki sada aati hai Roye zindaan use roye use charkh-e-kohan Ek hai qaidan
5 Chhaaya zindaan meiṅ hai gor andhera haaye Aur zindaaṅ ke andheroṅ meiṅ wo dar dar jaaye Haaye Khurshid thi na aaye na dar us ko kiran Ek hai qaidan