پیارے نبی کی پیاری نواسی
Pyare Nabi Ki Pyari
Show
پیارے نبی کی پیاری نواسی
پیارے نبی کی پیاری نواسی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
صبر کی ملکہ زہرہ کی پیاری
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۱
دیکھ رہی ہے کوئی تو آئے
شانہ پکڑ کر کاش بٹھائے
نہ ہے سواری نہ ہے عماری
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۲
بھائی بھتیجے بھانجے بیٹے
ساتھ وطن سے آئی تھی لے کے
ہائے مقدر آج اکیلی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۳
بیٹوں کو صدقہ بھائی پہ کر کے
جس نے کیے تھے شکر کے سجدے
چھوڑ کے تنہا لاش کو اس کی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۴
جس کی کنیزیں نکلیں نہ باہر
بلوے میں لائے اس کو ستمگر
ہائے یہ غربت بنت علی کی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۵
کتنے ہی قیدی جس نے چھڑائے
آج وہ بیبی سر کو جھکائے
ایک ردا کی بن کے سوالی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
۶
سوچو وہ منظر سرور و ریحان
بھائی ہو جس کا وارث قرآن
کیسے وہ بیبی اشک بہاتی
شام کو قیدی بن کے چلی ہے
Pyare Nabi Ki Pyari
Pyare Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
Sabr ki malika Zehra ki pyari
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
1
Dekh rahi hai koi to aaye
Shaana pakar kar kaash bithaaye
Na hai sawaari na hai amaari
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
2
Bhai bhatije bhanje bete
Saath watan se aayi thi le ke
Haye muqaddar aaj akeli
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
3
Betoṅ ko sadqa bhai pe kar ke
Jis ne kiye the shukr ke sajde
Chhor ke tanha laash ko us ki
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
4
Jis ki kanizeṅ nikleṅ na baahar
Balwe meiṅ laaye us ko sitamgar
Haye ye ghurbat bint-e-Ali ki
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
5
Kitne hi qaidi jis ne chhuraaye
Aaj wo Bibi sar ko jhukaaye
Ek rida ki ban ke sawaali
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
6
Socho wo manzar Sarwar o Rehaan
Bhai ho jis ka waaris-e-Quran
Kaise wo Bibi ashk bahaati
Shaam ko qaidi ban ke chali hai