شام غریباں گھپ اندھیارا
Pehre Par Zainab
Show
شام غریباں گھپ اندھیارا
شام غریباں گھپ اندھیارا
اور پہرے پر زینب ہے
خون میں ڈوبا جنگل سارا
اور پہرے پر زینب ہے
۱
سہمے سہمے سے بچے ہیں
بیوؤں کے گودی میں
دشت بلا کی خاک بھری ہے
کچھ ماؤں کی گودی میں
دل ہے غموں سے پارہ پارہ
اور پہرے پر زینب ہے
۲
صحرا کے اس سناٹے میں
اک زینب کس کس کو سنبھالے
جلتی زمیں پر سوتے ہیں
سب خون میں غلطاں گود کے پالے
کوئی نہیں غربت میں سہارا
اور پہرے پر زینب ہے
۳
کوہ مصائب ٹوٹ پڑا ہے
غم سے کلیجے چاک ہوئے ہیں
چاروں طرف نظروں میں دھواں ہے
جل کر خیمے خاک ہوئے ہیں
چپ ہے مریض غم بیچارا
اور پہرے پر زینب ہے
۴
چاروں طرف بکھرے ہیں جنازے
اور اس میں معصوم سکینہ
بوجھل بوجھل سی آنکھیں ہیں
ڈھونڈ رہی ہے باپ کا سینہ
روتا ہے دریا کا کنارہ
اور پہرے پر زینب ہے
۵
ثانیِ زہرا کو بس یہ
احساس رلائے جاتا ہے
ہجر تمہارا ہے بھیا
عباس رلائے جاتا ہے
کام تو تھا یہ بھائی تمہارا
اور پہرے پر زینب ہے
۶
دیکھ کے لاشوں کو مقتل میں
آہیں بھرتی جاتی ہیں
اس بےچینی کے عالم میں
رات گزرتی جاتی ہے
خون روتا ہے صبح کا تارا
اور پہرے پر زینب ہے
۷
عامر و اختر سب کی محافظ
زینب تنہا رات میں ہے
جانب دریا دیکھ رہی ہے
ٹوٹا نیزہ ہاتھ میں ہے
خاک بسر ہے کنبہ سارا
اور پہرے پر زینب ہے
Pehre Par Zainab
Shaam-e-gharibaṅ ghup andhiyaara
Aur pehre par Zainab hai
Khun meiṅ duba jangal saara
Aur pehre par Zainab hai
1
Sehme sehme se bachche haiṅ
Bewaaoṅ ke godi meiṅ
Dasht-e-bala ki khaak bhari hai
Kuchh maaoṅ ki godi meiṅ
Dil hai ghamoṅ se paara paara
Aur pehre par Zainab hai
2
Sahra ke is sannaate meiṅ
Ik Zainab kis kis ko sambhaale
Jalti zamiṅ par sote haiṅ
Sab khun meiṅ ghaltaaṅ god ke paale
Koi nahiṅ ghurbat meiṅ sahaara
Aur pehre par Zainab hai
3
Koh-e-masaaib tut para hai
Gham se kaleje chaak hue haiṅ
Chaaroṅ taraf nazroṅ meiṅ dhuaaṅ hai
Jal kar khaime khaak hue haiṅ
Chup hai mariz-e-gham bechaara
Aur pehre par Zainab hai
4
Chaaroṅ taraf bikhre haiṅ janaaze
Aur is meiṅ maasum Sakina
Bojhal bojhal si aankheṅ haiṅ
Dhund rahi hai baap ka sina
Rota hai darya ka kinaara
Aur pehre par Zainab hai
5
Saani-e-Zehra ko bas ye
Ehsaas rulaaye jaata hai
Hijr tumhara hai bhaiya
Abbaas rulaaye jaata hai
Kaam to tha ye bhai tumhara
Aur pehre par Zainab hai
6
Dekh ke laashoṅ ko maqtal meiṅ
Aaheṅ bharti jaati haiṅ
Is bechaini ke aalam meiṅ
Raat guzarti jaati hai
Khun rota hai subh ka taara
Aur pehre par Zainab hai
7
Aamir o Akhtar sab ki muhaafiz
Zainab tanha raat meiṅ hai
Jaanib-e-darya dekh rahi hai
Tuta neza haath meiṅ hai
Khaak basar hai kunba saara
Aur pehre par Zainab hai